ye kaisi ghaDi hai
ye kund aur yaḳh be-numū niiñd jis meñ
shab-e-irtiqā aur sub.h-e-harīrā kā taaza amal rā.egāñ ho rahā hai
shikasta kināroñ ke andar machaltī huī soḳhta-jān lahroñ kā raqs-e-ziyāñ ho rahā hai
charāġh-e-taharruk kaf-e-sust par be-nishāñ ho rahā hai
mire dahr kā tāq-e-tahzīb jis par
muqaddas sahīfa nahīñ ik riyā-kār mash.al dharī hai
har ik shīsha-e-pāk-bāz-o-safā kī samāvī ragoñ meñ
kisī aks-e-fājir kī miTTī bharī hai
munazzah daraḳhtoñ ke paak aur shīrīñ phaloñ meñ
koī nok-e-teġh-e-najāsat gaḌī hai
ḳhudāyā tire nek bandoñ par uftād kaisī paḌī hai
ye kaisī ghaḌī hai
ye kund aur yaKH be-numu nind jis mein
shab-e-irtiqa aur subh-e-harira ka taza amal raegan ho raha hai
shikasta kinaron ke andar machalti hui soKHta-jaan lahron ka raqs-e-ziyan ho raha hai
charagh-e-taharruk kaf-e-sust par be-nishan ho raha hai
mere dahr ka taq-e-tahzib jis par
muqaddas sahifa nahin ek riya-kar mashal dhari hai
har ek shisha-e-pak-baz-o-safa ki samawi ragon mein
kisi aks-e-fajir ki miTTi bhari hai
munazzah daraKHton ke pak aur shirin phalon mein
koi nok-e-tegh-e-najasat gaDi hai
KHudaya tere nek bandon par uftad kaisi paDi hai
ye kaisi ghaDi hai
- Book : Quarterly Tasteer Lahore (Pg. 123)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : Roon No.1 1st Floor, Awan Palaza, Shadman Market (Vo.1 Issue2 Oct to Dec1997)
- Edition : Vo.1 Issue2 Oct to Dec1997
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.