ye kaun aaya
'inshā'-jī ye kaun aayā kis des kā baasī hai
hoñToñ pe tabassum hai āñkhoñ meñ udāsī hai
ḳhvāboñ ke gulistāñ kī ḳhush-bū-e-dil-ārā hai
yā sub.h-e-tamannā ke māthe kā sitārā hai
tarsī huī nazroñ ko ab aur na tarsā re
ai husn ke saudāgar ai ruup ke banjāre
ramnā dil-e-'inshā' kā ab terā Thikānā ho
ab koī bhī sūrat ho ab koī bahānā ho
ḳhākistar-e-dil ko hai phir shola-ba-jāñ honā
hairat kā jahāñ honā hasrat kā nishāñ honā
ai shaḳhs jo tū aakar yuuñ dil meñ samāyā hai
tū dard ki darmāñ hai to dhuup ki saayā hai?
naināñ tire jaadū haiñ gesū tire ḳhushbū haiñ
bāteñ kisī jañgal meñ bhaTkā huā aahū haiñ
maqsūd-e-vafā sun le kyā saaf hai saada hai
jiine kī tamannā hai marne kā irāda hai
'insha'-ji ye kaun aaya kis des ka basi hai
honTon pe tabassum hai aankhon mein udasi hai
KHwabon ke gulistan ki KHush-bu-e-dil-ara hai
ya subh-e-tamanna ke mathe ka sitara hai
tarsi hui nazron ko ab aur na tarsa re
ai husn ke saudagar ai rup ke banjare
ramna dil-e-'insha' ka ab tera Thikana ho
ab koi bhi surat ho ab koi bahana ho
KHakistar-e-dil ko hai phir shola-ba-jaan hona
hairat ka jahan hona hasrat ka nishan hona
ai shaKHs jo tu aakar yun dil mein samaya hai
tu dard ki darman hai to dhup ki saya hai?
nainan tere jadu hain gesu tere KHushbu hain
baaten kisi jangal mein bhaTka hua aahu hain
maqsud-e-wafa sun le kya saf hai sada hai
jine ki tamanna hai marne ka irada hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.