ye kaun sa shahr hai
hairān huuñ
ye kaun sā shahr hai
'mīr'-o-'ġhālib' kī dillī kabhī aisī to na thī
har galī har nukkaḌ par saañp kunDlī maare baiThe haiñ yahāñ
paidā hote hī koī bhī sañpola
Dasne ke liye par tolne lagtā hai
jidhar dekhiye
har jagah saañp hī saañp haiñ
kahīñ ḳhūnī darvāze ke aqab se
to kahīñ dhaula-kuāñ ke fly over par
har jagah kunDlī maare hue yahāñ
hazār-hā saañp aise haiñ
jo har dam tayyār baiThe haiñ
mauqa.a milte hī
vo kisī bhī narm-o-gudāz badan ko
nishāna apnā banā lete haiñ
apne zahrīle daañt gaaḌ ne ke liye
jab vo phanphanā kar bāhar aate haiñ
kisī bhī rāhgīr kā rasta roke
ek dam
tan ke khaḌe ho jaate haiñ
hattā ki
būḌhā naag bhī ab yahāñ
apne khañDar meñ tan ke khaḌā hai
use bhī intizār hai
barsāt kī us kaalī añdherī raat kā hai
jab vo bul-havas
apne kohna-mashq dāñtoñ ko
kisī narm-o-nāzuk ġhazāla par
tez kar sake hamla-e-ḳhūñ-rez kar sake
apnī umr ke is āḳhirī paḌāv meñ vo bul-havas
koī vārdāt-e-junūñ-añgez qayāmat-ḳhez kar sake
yā ḳhudā
ye kaun sā maqām hai
kyā ye terā qahr nahīñ hai
kyā ye vahī purānā shahr nahīñ hai
sochtā huuñ
'mīr'-o-'ġhālib' kī dillī kabhī aisī to na thī
hairan hun
ye kaun sa shahr hai
'mir'-o-'ghaalib' ki dilli kabhi aisi to na thi
har gali har nukkaD par sanp kunDli mare baiThe hain yahan
paida hote hi koi bhi sanpola
Dasne ke liye par tolne lagta hai
jidhar dekhiye
har jagah sanp hi sanp hain
kahin KHuni darwaze ke aqab se
to kahin dhaula-kuan ke fly ower par
har jagah kunDli mare hue yahan
hazar-ha sanp aise hain
jo har dam tayyar baiThe hain
mauqa milte hi
wo kisi bhi narm-o-gudaz badan ko
nishana apna bana lete hain
apne zahrile dant gaD ne ke liye
jab wo phanphana kar bahar aate hain
kisi bhi rahgir ka rasta roke
ek dam
tan ke khaDe ho jate hain
hatta ki
buDha nag bhi ab yahan
apne khanDar mein tan ke khaDa hai
use bhi intizar hai
barsat ki us kali andheri raat ka hai
jab wo bul-hawas
apne kohna-mashq danton ko
kisi narm-o-nazuk ghazala par
tez kar sake hamla-e-KHun-rez kar sake
apni umr ke is aaKHiri paDaw mein wo bul-hawas
koi wardat-e-junun-angez qayamat-KHez kar sake
ya KHuda
ye kaun sa maqam hai
kya ye tera qahr nahin hai
kya ye wahi purana shahr nahin hai
sochta hun
'mir'-o-'ghaalib' ki dilli kabhi aisi to na thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.