ye kaun tum se ab kahe
ye kaun tum se ab kahe
ye roz roz dard ke jo silsile haiñ kam karo
zarā to tum karam karo
jo roz roz aaoge jo roz roz jāoge
kahāñ talak rulāoge kahāñ talak satāoge
na mujh pe ab sitam karo jo ho sake karam karo
milā gayā hai rāsta ye mushkiloñ se jo hameñ
mileñ to is tarah mileñ ki phuul ban ke ham khileñ
ye maiñ jo maiñ huuñ na rahūñ
ye tum jo tum ho na raho
kuchh is tarah baham karo
chalo ye dhāge ziist ke uñgliyoñ pe Daal ke
khelte haiñ ham zarā bhūlte haiñ sab zarā
kahīñ agar ulajh ga.e to pyaar se sulajh ga.e
mohabbatoñ ke kuchh diye jo mil ke ham jalā.eñge
kabhī jale kabhī bujhe kabhī bujhe kabhī jale
charāġh-e-zindagī agar
to mil ki ham bachā.eñge
bichhaḌ ga.e to phuul khil nā pā.eñge
ye kaun tum se ab kahe
ye kaun tum se ab kahe
ye roz roz dard ke jo silsile hain kam karo
zara to tum karam karo
jo roz roz aaoge jo roz roz jaoge
kahan talak rulaoge kahan talak sataoge
na mujh pe ab sitam karo jo ho sake karam karo
mila gaya hai rasta ye mushkilon se jo hamein
milen to is tarah milen ki phul ban ke hum khilen
ye main jo main hun na rahun
ye tum jo tum ho na raho
kuchh is tarah baham karo
chalo ye dhage zist ke ungliyon pe Dal ke
khelte hain hum zara bhulte hain sab zara
kahin agar ulajh gae to pyar se sulajh gae
mohabbaton ke kuchh diye jo mil ke hum jalaenge
kabhi jale kabhi bujhe kabhi bujhe kabhi jale
charagh-e-zindagi agar
to mil ki hum bachaenge
bichhaD gae to phul khil na paenge
ye kaun tum se ab kahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.