ye kawwe kyon laDte hain
Interesting Fact
(بچوں کے جرمن ادب سے ترجمہ)
tumheñ pata hai ye kavve kyoñ laḌte haiñ
kyoñ ye chhoTī chhoTī bātoñ pe jhagaḌte haiñ
ye din bhar ulajhte haiñ ek dūsre kī bātoñ meñ
aur kabhī kabhī to ye laḌte haiñ añdherī rātoñ meñ
ye laḌte haiñ uThte baiThte jāgte sote
chāhe ghar meñ yā ye ghar se bāhar hote
jaisā ki kabhī vo laḌte haiñ kitāboñ par
copy aur rañgīn penciloñ ke hisāboñ par
ye laḌte haiñ kabhī sur aur sañgīt par
khel meñ kabhī haar aur kabhī jiit par
kabhī schōl kā home-work karne meñ
kabhī tasvīroñ meñ rang bharne meñ
kabhī khāne piine kī chīzoñ par
dastar-ḳhvān aur khāne kī mezoñ par
ye laḌte haiñ daal machhlī aur anDe par
kabhī garm chaa.e aur icecream ke ThanDe par
laḌte hue toḌ dete haiñ gilās aur plate
aur barbād kar dete haiñ ye saarī chokleT
ye laḌte haiñ zor se qahqaha lagāne par
uchhalne kūdne aur ik dūsre ko maar girāne par
ye laḌte haiñ pahle aur dūsre number kī jiit par
Thoñgeñ mārte haiñ chauthe aur tīsre number kī piiTh par
chhuTTiyoñ meñ vo boriyat pe laḌte haiñ
aur apnī zaat kī ahmiyat par jhagaḌte haiñ
laḌte haiñ vo har chhoTī baḌī baat par
kabhī apne kabhī dūsre kavvoñ ke hālāt par
laḌ laḌ kar āḳhir jab vo thak jaate haiñ
to ik dūsre ko gale lagā kar dost ban jaate haiñ
ye dost banñe ke liye ik dūsre se laḌte haiñ
ye jānvar haiñ nā tabhī dostī meñ bhī jhagaḌte haiñ
tumhein pata hai ye kawwe kyon laDte hain
kyon ye chhoTi chhoTi baaton pe jhagaDte hain
ye din bhar ulajhte hain ek dusre ki baaton mein
aur kabhi kabhi to ye laDte hain andheri raaton mein
ye laDte hain uThte baiThte jagte sote
chahe ghar mein ya ye ghar se bahar hote
jaisa ki kabhi wo laDte hain kitabon par
copy aur rangin pencilon ke hisabon par
ye laDte hain kabhi sur aur sangit par
khel mein kabhi haar aur kabhi jit par
kabhi school ka home-work karne mein
kabhi taswiron mein rang bharne mein
kabhi khane pine ki chizon par
dastar-KHwan aur khane ki mezon par
ye laDte hain dal machhli aur anDe par
kabhi garm chae aur icecream ke ThanDe par
laDte hue toD dete hain gilas aur plate
aur barbaad kar dete hain ye sari chokleT
ye laDte hain zor se qahqaha lagane par
uchhalne kudne aur ek dusre ko mar girane par
ye laDte hain pahle aur dusre number ki jit par
Thongen marte hain chauthe aur tisre number ki piTh par
chhuTTiyon mein wo boriyat pe laDte hain
aur apni zat ki ahmiyat par jhagaDte hain
laDte hain wo har chhoTi baDi baat par
kabhi apne kabhi dusre kawwon ke haalat par
laD laD kar aaKHir jab wo thak jate hain
to ek dusre ko gale laga kar dost ban jate hain
ye dost banne ke liye ek dusre se laDte hain
ye jaanwar hain na tabhi dosti mein bhi jhagaDte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.