ye Khaal-o-KHad mere apne
har ek jism mirā hai, har ek jaan mirī
ye ḳhāl-o-ḳhad mire apne, ye ān-bān mirī
sitam to ye hai ki mazlūm maiñ huuñ zālim maiñ
har ek zaḳhm mujhī se hisāb māñgegā
har ek daaġh mirī āstīñ se jhāñkegā
hazār-hā mirī peshāniyoñ ke chāñd bujhe
hazār-hā mire lab ham-kanār-e-zahr hue
hazār-hā mire jismoñ kī Dāliyāñ TūTīñ
hazār-hā mirī āñkhoñ kī mish.aleñ Dūbīñ
jahāñ pe aag lagī hai, vahāñ khilaune the
jahāñ pe ḳhaak uḌī hai, vahāñ pe jhūle the
jahāñ pe sard haiñ siine vahāñ pe chaukhaT thī
jahāñ pe band haiñ āñkheñ vahāñ darīche the
maiñ is dhueñ meñ kahāñ apnī laash ko DhūñDūñ
maiñ is hujūm meñ kaise shumār-e-zaḳhm karūñ
sitam to ye hai ki mazlūm maiñ huuñ, zālim maiñ
har ek zaḳhm mujhī se hisāb māñgegā!
har ek daaġh mirī āstīñ se jhāñkegā
har ek jism mera hai, har ek jaan meri
ye KHal-o-KHad mere apne, ye aan-ban meri
sitam to ye hai ki mazlum main hun zalim main
har ek zaKHm mujhi se hisab mangega
har ek dagh meri aastin se jhankega
hazar-ha meri peshaniyon ke chand bujhe
hazar-ha mere lab ham-kanar-e-zahr hue
hazar-ha mere jismon ki Daliyan TuTin
hazar-ha meri aankhon ki mishalen Dubin
jahan pe aag lagi hai, wahan khilaune the
jahan pe KHak uDi hai, wahan pe jhule the
jahan pe sard hain sine wahan pe chaukhaT thi
jahan pe band hain aankhen wahan dariche the
main is dhuen mein kahan apni lash ko DhunDun
main is hujum mein kaise shumar-e-zaKHm karun
sitam to ye hai ki mazlum main hun, zalim main
har ek zaKHm mujhi se hisab mangega!
har ek dagh meri aastin se jhankega
- Book : Shaam Kaa Phahlaa Taaraa (Pg. 142)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.