ye KHalaf ka wada hai
aḳhtaruzzamāñ nāsir
vaqt jaise royā ho
dhuup narm lahje meñ jaise aaj goyā ho
duur koī masjid meñ
biich asr o maġhrib ke
jaise khoyā khoyā ho
aḳhtaruzzamāñ nāsir
maiñ tumhārī āñkhoñ se dekhtā thā duniyā ko
maiñ tumhāre hāthoñ se zindagī ko chhūtā thā
maiñ tumhāre qadmoñ se nāptā thā rastoñ ko
maiñ tumhārī sāñsoñ se sūñghtā thā ḳhushbū ko
maiñ tumhārā manzar thā
be-sadā samundar thā
sar pe āsmāñ tum the
haañ mirā bayāñ tum the
aur merī dhartī meñ chāhateñ tumhārī thiiñ
ādateñ tumhārī thiiñ
din tumhāre lahje kī chhāñv meñ guzarte the
zindagī se laḌte the zindagī se Darte the
aḳhatruzzamāñ nāsir
jaane kyuuñ huā badlī charḳh ne bhī ruḳh badlā
duur masjid-e-jāñ se kyuuñ azān-e-dil ubhrī
sajda-e-talab chamkā
harf-e-kunj-e-lab chamkā
din ġhurūb hote hī zauq-e-muntaḳhab chamkā
kaash ye nahīñ hotā kaash maiñ vahīñ hotā
aḳhtaruzzamāñ nāsir
maiñ kisī tamaddun kā āḳhirī musāfir huuñ
maiñ hazār ḳhvāboñ kī dauḌ-dhūp meñ shāmil
maiñ hazār jazboñ kī rel-pel kā aadī
maiñ hazār hāthoñ se zindagī banātā huuñ
maiñ hazār qadmoñ se rāstoñ pe chaltā huuñ
maiñ hazār shānoñ pe karvaTeñ badaltā huuñ
maiñ hazār āñkhoñ se manzaroñ meñ Dhaltā huuñ
maiñ asiir duniyā kā
maiñ basīr fardā kā
maiñ varaq huuñ maazī kā
vaqt hai munādī kā
Darte Darte kahtā huuñ maiñ bhī ek shā.er huuñ
aḳhtaruzzamāñ nāsir
ye safar jo jaarī hai kaun is kā jaada hai
kaun is kī manzil hai
lauTnā bhī mushkil hai
maiñ to jaise bhar paayā aur ek dar paayā
roz-o-shab kā halqa hai
maiñ bhī ek qaidī huuñ
sub.h kā añdherā huuñ
shaam kī safedī huuñ
aḳhtaruzzamāñ nāsir
naukrī hai sarkārī
badtarīn samjhauta, badtarīn dushvārī
aaj mere hāthoñ meñ tiir haiñ na patthar haiñ
aaj merī āñkhoñ meñ ḳhvāb haiñ na manzar haiñ
maiñ sag-e-malāmat kī sun rahā huuñ āvāzeñ
roz-o-shab ke narġhe se bhāgnā bhī mushkil hai
aur aise aalam meñ
farz-e-ain vājib hai
shuġhl-e-mai bhī jaa.ez hai
aḳhtaruzzamāñ nāsir
hukm mujh ko azbar hai
tiin nannhī dhūpeñ haiñ
vo nafīs paikar hai
jin ke saath jiinā hai
dhuup hai to sahnī hai
bas yahī guzārish hai
ek chhoTī tabdīlī
sirf itnī ḳhvāhish hai
aḳhtaruzzamāñ nāsir
e'tidāl lāzim hai
ye ḳhalaf kā va.ada hai
duur hai ḳhudā lekin
tosha-e-sa.ādat hai
raushnī kā jaada hai
aKHtaruzzaman nasir
waqt jaise roya ho
dhup narm lahje mein jaise aaj goya ho
dur koi masjid mein
bich asr o maghrib ke
jaise khoya khoya ho
aKHtaruzzaman nasir
main tumhaari aankhon se dekhta tha duniya ko
main tumhaare hathon se zindagi ko chhuta tha
main tumhaare qadmon se napta tha raston ko
main tumhaari sanson se sunghta tha KHushbu ko
main tumhaara manzar tha
be-sada samundar tha
sar pe aasman tum the
han mera bayan tum the
aur meri dharti mein chahaten tumhaari thin
aadaten tumhaari thin
din tumhaare lahje ki chhanw mein guzarte the
zindagi se laDte the zindagi se Darte the
aKHatruzzaman nasir
jaane kyun hua badli charKH ne bhi ruKH badla
dur masjid-e-jaan se kyun azan-e-dil ubhri
sajda-e-talab chamka
harf-e-kunj-e-lab chamka
din ghurub hote hi zauq-e-muntaKHab chamka
kash ye nahin hota kash main wahin hota
aKHtaruzzaman nasir
main kisi tamaddun ka aaKHiri musafir hun
main hazar KHwabon ki dauD-dhup mein shamil
main hazar jazbon ki rel-pel ka aadi
main hazar hathon se zindagi banata hun
main hazar qadmon se raston pe chalta hun
main hazar shanon pe karwaTen badalta hun
main hazar aankhon se manzaron mein Dhalta hun
main asir duniya ka
main basir farda ka
main waraq hun mazi ka
waqt hai munadi ka
Darte Darte kahta hun main bhi ek shaer hun
aKHtaruzzaman nasir
ye safar jo jari hai kaun is ka jada hai
kaun is ki manzil hai
lauTna bhi mushkil hai
main to jaise bhar paya aur ek dar paya
roz-o-shab ka halqa hai
main bhi ek qaidi hun
subh ka andhera hun
sham ki safedi hun
aKHtaruzzaman nasir
naukri hai sarkari
badtarin samjhauta, badtarin dushwari
aaj mere hathon mein tir hain na patthar hain
aaj meri aankhon mein KHwab hain na manzar hain
main sag-e-malamat ki sun raha hun aawazen
roz-o-shab ke narghe se bhagna bhi mushkil hai
aur aise aalam mein
farz-e-ain wajib hai
shughl-e-mai bhi jaez hai
aKHtaruzzaman nasir
hukm mujh ko azbar hai
tin nannhi dhupen hain
wo nafis paikar hai
jin ke sath jina hai
dhup hai to sahni hai
bas yahi guzarish hai
ek chhoTi tabdili
sirf itni KHwahish hai
aKHtaruzzaman nasir
e'tidal lazim hai
ye KHalaf ka wada hai
dur hai KHuda lekin
tosha-e-saadat hai
raushni ka jada hai
- Book : azadi ke bad urdu nazm (Pg. 715)
- Author : shamim hanfi and mazhar mahdi
- Publication : qaumi council bara-e-farogh urdu (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.