ye KHwab sare
ye ḳhvāb saare
abhī jo āñkhoñ meñ so rahe haiñ
ye jaag uTThe to kyā karoge
to kyā karoge jo ḳhvāb saare
tumhārī āñkhoñ se bāhar aa kar
taḳh.īl kī be-karāñ fazā meñ
kisī sunahre hasīn lamhe ko qaid kar leñ
kisī kī zulfoñ meñ phuul Tāñke
kis ke hoñToñ pe gungunā.eñ
kisī ke shānoñ pe haath rakh deñ
kisī ke pahlū meñ baiTh jaa.eñ
to kyā karoge
to kyā karoge jo ḳhvāb saare
palaT ke maazī meñ lauT jaa.eñ
har ek manzar har ek paikar
har ek kūcha har ik Dagar par
junūñ-ba-dāmāñ tumheñ nachā.eñ
tumhārī vahshat ko āzmā.eñ
kisī khañDar kī shikasta chaukhaT pe baiTh jaa.eñ
siyāh tāqoñ pe momī sham.eñ
tumhārī yādoñ meñ jhilmilā.eñ
koī hayūlā koī sarāpā
tumheñ pukāre
tumhārī āñkhoñ pe haath rakh de
gulāb-Dālī kā haar koī
tumhāre talvoñ meñ gudgudā.e
laharyā āñchal kā koī TukḌā
havā meñ uḌtā huā sā aa.e
tumhāre ashkoñ se bhiig jaa.e
to kyā karoge
to kyā karoge jo ḳhvāb saare
tumhārī āñkhoñ se ashk ban kar
tumhāre dāman pe phail jaa.eñ
lahū rulā.eñ
to kyā karoge jo ḳhvāb saare
palaT ke maazī meñ lauT jā.eñ!
ye KHwab sare
abhi jo aankhon mein so rahe hain
ye jag uTThe to kya karoge
to kya karoge jo KHwab sare
tumhaari aankhon se bahar aa kar
taKHil ki be-karan faza mein
kisi sunahre hasin lamhe ko qaid kar len
kisi ki zulfon mein phul Tanke
kis ke honTon pe gungunaen
kisi ke shanon pe hath rakh den
kisi ke pahlu mein baiTh jaen
to kya karoge
to kya karoge jo KHwab sare
palaT ke mazi mein lauT jaen
har ek manzar har ek paikar
har ek kucha har ek Dagar par
junun-ba-daman tumhein nachaen
tumhaari wahshat ko aazmaen
kisi khanDar ki shikasta chaukhaT pe baiTh jaen
siyah taqon pe momi shamen
tumhaari yaadon mein jhilmilaen
koi hayula koi sarapa
tumhein pukare
tumhaari aankhon pe hath rakh de
gulab-Dali ka haar koi
tumhaare talwon mein gudgudae
laharya aanchal ka koi TukDa
hawa mein uDta hua sa aae
tumhaare ashkon se bhig jae
to kya karoge
to kya karoge jo KHwab sare
tumhaari aankhon se ashk ban kar
tumhaare daman pe phail jaen
lahu rulaen
to kya karoge jo KHwab sare
palaT ke mazi mein lauT jaen!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.