ye KHwabon ke sae
ye ḳhvāboñ ke saa.e
mirī niiñd kī shānt vaadī meñ
kis tarah aa.e
kisī aur duniyā ke mauhūm paikar
kisī aur jañgal kī shāḳhoñ ke saa.e
pur-asrār jazboñ kī bārish meñ bhīge nahā.e
gurezāñ ka.ī sā.atoñ ko uThā.e
mire paas aa.e
magar maiñ baḌhī jab bhī
in dhuñdle ḳhākoñ ko muTThī meñ bharne
vo ġhā.eb hue pech khāte hue
ik ghanī dhund meñ
haath mere na aa.e
magar jab kabhī haath aa.e
to un be-sadā paikaroñ ne
nihāñ ḳhāna-e-ārzū ke
ka.ī raaz mujh ko batā.e
ka.ī daaġh mujh ko dikhā.e
ye ḳhvāboñ kī bastī
ki jis kī pur-asrār rāhoñ meñ gum
raat bhar merī hastī
koī us kī gahrā.iyoñ ko bhalā kaise paa.e
koī is ke sab raaz kaise batā.e
ye KHwabon ke sae
meri nind ki shant wadi mein
kis tarah aae
kisi aur duniya ke mauhum paikar
kisi aur jangal ki shaKHon ke sae
pur-asrar jazbon ki barish mein bhige nahae
gurezan kai saaton ko uThae
mere pas aae
magar main baDhi jab bhi
in dhundle KHakon ko muTThi mein bharne
wo ghaeb hue pech khate hue
ek ghani dhund mein
hath mere na aae
magar jab kabhi hath aae
to un be-sada paikaron ne
nihan KHana-e-arzu ke
kai raaz mujh ko batae
kai dagh mujh ko dikhae
ye KHwabon ki basti
ki jis ki pur-asrar rahon mein gum
raat bhar meri hasti
koi us ki gahraiyon ko bhala kaise pae
koi is ke sab raaz kaise batae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.