ye kis dayar-e-adam mein
nahīñ hai yuuñ to nahīñ hai ki ab nahīñ paidā
kasī ke husn meñ shamshīr-e-āftāb kā husn
nigāh jis se milāo to aañkh dukhne lage
kisī adā meñ adā-e-ḳhirām-e-bād-e-sabā
jise ḳhayāl meñ laao to dil sulagne lage
nahīñ hai yuuñ to nahīñ hai ki ab nahīñ baaqī
jahāñ meñ bazm-gah-e-husn-o-ishq kā mela
binā-e-lutf-o-mohabbat, rivāj-e-mehr-o-vafā
ye kas dayār-e-adam meñ muqīm haiñ ham tum
jahāñ pe muz.dā-e-dīdār-e-husn-e-yār to kyā
naved-e-āmad-e-roz-e-jazā nahīñ aatī
ye kis ḳhumār-kade meñ nadīm haiñ ham tum
jahāñ pe shorish-e-rindān-e-mai-gusār to kyā
shikast-e-shīsha-e-dil kī sadā nahīñ aatī
nahin hai yun to nahin hai ki ab nahin paida
kasi ke husn mein shamshir-e-aftab ka husn
nigah jis se milao to aankh dukhne lage
kisi ada mein ada-e-KHiram-e-baad-e-saba
jise KHayal mein lao to dil sulagne lage
nahin hai yun to nahin hai ki ab nahin baqi
jahan mein bazm-gah-e-husn-o-ishq ka mela
bina-e-lutf-o-mohabbat, riwaj-e-mehr-o-wafa
ye kas dayar-e-adam mein muqim hain hum tum
jahan pe muzda-e-didar-e-husn-e-yar to kya
nawed-e-amad-e-roz-e-jaza nahin aati
ye kis KHumar-kade mein nadim hain hum tum
jahan pe shorish-e-rindan-e-mai-gusar to kya
shikast-e-shisha-e-dil ki sada nahin aati
- Book : Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 707)
- Publication : Educational Publishing House (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.