ye kya tilism hai
maiñ apne aap se aksar savāl kartā huuñ
ye kyā tilism hai kaisā ajab tamāshā hai
ki baar baar sarāboñ kī samt jaatā huuñ
vo kaun hai jo mujhe rāsta dikhātā hai
maiñ zulmatoñ ke bayābāñ se lauT aatā huuñ
main apne aap se aksar sawal karta hun
ye kya tilism hai kaisa ajab tamasha hai
ki bar bar sarabon ki samt jata hun
wo kaun hai jo mujhe rasta dikhata hai
main zulmaton ke bayaban se lauT aata hun
- Book : Gil-e-Lajvard (Pg. 38)
- Author : Khaleel Tanveer
- Publication : Al-asr Publications, Ahmedabad (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.