ye meri ghazlen ye meri nazmen
ye merī ġhazleñ ye merī nazmeñ
jo maiñ ne tujh se bichhaḌ ke likkhīñ
unheñ koī chhāptā nahīñ hai
maiñ jab bhī tere firāq kā nauha likh ke lā.ūñ
suḳhan-shanāsoñ ko merā tarz-e-amal na bhaa.e
tirī mohabbat kā dard ho jis ġhazal meñ shāmil
kisī ko aisī ġhazal na bhaa.e
javāb aa.e
ki jaane vāloñ ko yaad karne se koī bhī fā.eda nahīñ hai
maiñ terī yādoñ ko gūñdh kar apnī hasratoñ meñ
tarāshtā huuñ agar tirā dil-navāz paikar
vo log dete haiñ mujh ko but-parastī kā ta.ana
juḌe haiñ jin ke diloñ meñ patthar
vahī sanam-gar
kareñ nasīhat butoñ pe marne se koī bhī fā.eda nahīñ hai
maiñ zikr kartā huuñ jab vasl kī rutoñ kā
to shahr ke saare pārsā mujh ko Tokte haiñ
ḳhilāf-e-aḳhlāq jin ke nazdīk hai mohabbat
vafāoñ se mujh ko rokte haiñ
kachokte haiñ
ki apnī izzat pe naam dharne se koī bhī fā.eda nahīñ hai
agar kabhī maiñ judā.iyoñ kā sabab batā.ūñ
to merī nazmoñ se ḳhauf khāne lageñ jarīde
samāj par ehtijāj karne kā haq jo māñgoñ
koī ye kah kar zabān sī de
likho qasīde
ki ḳhud ko yuuñ be-lagām karne se koī bhī fā.eda nahīñ hai
isī liye to habīb mere
ye merī ġhazleñ ye merī nazmeñ
jo maiñ ne tujh se bichhaḌ ke likhīñ
unheñ koī chhāptā nahīñ hai
ye meri ghazlen ye meri nazmen
jo main ne tujh se bichhaD ke likkhin
unhen koi chhapta nahin hai
main jab bhi tere firaq ka nauha likh ke laun
suKHan-shanason ko mera tarz-e-amal na bhae
teri mohabbat ka dard ho jis ghazal mein shamil
kisi ko aisi ghazal na bhae
jawab aae
ki jaane walon ko yaad karne se koi bhi faeda nahin hai
main teri yaadon ko gundh kar apni hasraton mein
tarashta hun agar tera dil-nawaz paikar
wo log dete hain mujh ko but-parasti ka tana
juDe hain jin ke dilon mein patthar
wahi sanam-gar
karen nasihat buton pe marne se koi bhi faeda nahin hai
main zikr karta hun jab wasl ki ruton ka
to shahr ke sare parsa mujh ko Tokte hain
KHilaf-e-aKHlaq jin ke nazdik hai mohabbat
wafaon se mujh ko rokte hain
kachokte hain
ki apni izzat pe nam dharne se koi bhi faeda nahin hai
agar kabhi main judaiyon ka sabab bataun
to meri nazmon se KHauf khane lagen jaride
samaj par ehtijaj karne ka haq jo mangon
koi ye kah kar zaban si de
likho qaside
ki KHud ko yun be-lagam karne se koi bhi faeda nahin hai
isi liye to habib mere
ye meri ghazlen ye meri nazmen
jo main ne tujh se bichhaD ke likhin
unhen koi chhapta nahin hai
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 151)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.