ye nur kaisa hai
raakh kā sārañg pahne
barf kī laash hai
laade kā sā badan pahne
gūñgī chāhat hai
rusvā.ī kā kafan pahne
har ek qatra muqaddas hai maile aañsū kā
ek hujūm apāhij hai āb-e-kausar par
ye kaisā shor hai jo be-āvāz phailā hai
ro pahlī chhāñv meñ bad-nāmiyoñ kā Derā hai
ye kaisī jannat hai jo chauñk chauñk jaatī hai
ek intizār-e-mujassam kā naam ḳhāmoshī
aur ehsās-e-be-karāñ pe ye sarhad kaisī
dar-o-dīvār kahāñ kī āvārgī ke
nuur kī vaadī talak lams kā ik safar tavīl
har ek moḌ pe bas do hī naam milte haiñ
maut kah lo jo mohabbat nahīñ kahne paao
usī kā naam mohabbat hai jis kā naam hai maut
rakh ka sarang pahne
barf ki lash hai
lade ka sa badan pahne
gungi chahat hai
ruswai ka kafan pahne
har ek qatra muqaddas hai maile aansu ka
ek hujum apahij hai aab-e-kausar par
ye kaisa shor hai jo be-awaz phaila hai
ro pahli chhanw mein bad-namiyon ka Dera hai
ye kaisi jannat hai jo chaunk chaunk jati hai
ek intizar-e-mujassam ka nam KHamoshi
aur ehsas-e-be-karan pe ye sarhad kaisi
dar-o-diwar kahan ki aawargi ke
nur ki wadi talak lams ka ek safar tawil
har ek moD pe bas do hi nam milte hain
maut kah lo jo mohabbat nahin kahne pao
usi ka nam mohabbat hai jis ka nam hai maut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.