ye phulon ki duniya
zarā apnī āñkheñ to denā
ki dekhūñ tumhārī nazar se
jahān-e-tamannā
jahāñ log kahte haiñ
nargis ne ik phuul phir se janā hai
hazāroñ baras kī sazā jhel kar
gumāñ aur afshāñ ke rangoñ meñ phir se
bahāroñ kī ḳhushbū safar kar rahī hai
ki lamhoñ kī lahroñ pe har-sū
na.ī aarzū par-fishāñ hai
tamanna kī tanhā.iyāñ muntazir haiñ
ki shāyad vahī vaqt kā qāfila
phir mile
jo un ko sulā kar batā.e binā chal diyā thā
shukriya
apnī āñkheñ to lo
hameñ apnī be-nūrī achchhī
hameñ kyā milā
hazāroñ baras kā safar
aur phir
dīda-var
ḳhud-nazar ḳhud-girafta
ye paanī ke taḳhte pe laTkā huā phuul
gumāñ aur afshāñ ke rangoñ kī hijrat kā
taaza nishāñ
de gayā dāġh-e-hijrat kī ik dukh-bharī dāstāñ
ye chashm-e-tamannā
ḳhudāyā ḳhudī thī ki thī ḳhud-numā.ī
ye phūloñ kī duniyā bhī
andherī nagrī hai
andhoñ kī duniyā hai
be-nūr-o-be-ḳhauf
insāf andhā hai
phūloñ ko phāñsī ke phande
zara apni aankhen to dena
ki dekhun tumhaari nazar se
jahan-e-tamanna
jahan log kahte hain
nargis ne ek phul phir se jana hai
hazaron baras ki saza jhel kar
guman aur afshan ke rangon mein phir se
bahaaron ki KHushbu safar kar rahi hai
ki lamhon ki lahron pe har-su
nai aarzu par-fishan hai
tamanna ki tanhaiyan muntazir hain
ki shayad wahi waqt ka qafila
phir mile
jo un ko sula kar batae bina chal diya tha
shukriya
apni aankhen to lo
hamein apni be-nuri achchhi
hamein kya mila
hazaron baras ka safar
aur phir
dida-war
KHud-nazar KHud-girafta
ye pani ke taKHte pe laTka hua phul
guman aur afshan ke rangon ki hijrat ka
taza nishan
de gaya dagh-e-hijrat ki ek dukh-bhari dastan
ye chashm-e-tamanna
KHudaya KHudi thi ki thi KHud-numai
ye phulon ki duniya bhi
andheri nagri hai
andhon ki duniya hai
be-nur-o-be-KHauf
insaf andha hai
phulon ko phansi ke phande
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.