ye pichhle ishq ki baaten hain
ye pichhle ishq kī bāteñ haiñ
jab aañkh meñ ḳhvāb damakte the
jab diloñ meñ daaġh chamakte the
jab palkeñ shahr ke rastoñ meñ
ashkoñ kā nuur luTātī thiiñ
jab sāñseñ ujle chehroñ kī
tan man meñ phuul sajātī thiiñ
jab chāñd kī rim-jhim kirnoñ se
sochoñ meñ bhañvar paḌ jaate the
jab ek talātum rahtā thā
apne be-ant ḳhayāloñ meñ
har ahd nibhāne kī qasmeñ
ḳhat ḳhuun se likhne kī rasmeñ
jab aam thiiñ ham dil vāloñ meñ
ab apne phīke hoñToñ par
kuchh jalte bujhte lafzoñ ke
yāqūt pighalte rahte haiñ
ab apnī gum-sum āñkhoñ meñ
kuchh dhuul hai bikhrī yādoñ kī
kuchh gard-ālūd se mausam haiñ
ab dhuup ugaltī sochoñ meñ
kuchh paimāñ jalte rahte haiñ
ab apne vīrāñ āñgan meñ
jitnī sub.hoñ kī chāñdī hai
jitnī shāmoñ kā sonā hai
us ko ḳhākistar honā hai
ab ye bāteñ rahne diije
jis umr meñ qisse bante the
us umr kā ġham sahne diije
ab apnī ujḌī āñkhoñ meñ
jitnī raushan sī rāteñ haiñ
us umr kī sab sauġhāteñ haiñ
jis umr ke ḳhvāb ḳhayāl hue
vo pichhlī umr thī biit ga.ī
vo umr bitā.e saal hue
ab apnī diid ke raste meñ
kuchh rañg hai guzre lamhoñ kā
kuchh ashkoñ kī bārāteñ haiñ
kuchh bhūle-bisre chehre haiñ
kuchh yādoñ kī barsāteñ haiñ
ye pichhle ishq kī bāteñ haiñ
ye pichhle ishq ki baaten hain
jab aankh mein KHwab damakte the
jab dilon mein dagh chamakte the
jab palken shahr ke raston mein
ashkon ka nur luTati thin
jab sansen ujle chehron ki
tan man mein phul sajati thin
jab chand ki rim-jhim kirnon se
sochon mein bhanwar paD jate the
jab ek talatum rahta tha
apne be-ant KHayalon mein
har ahd nibhane ki qasmen
KHat KHun se likhne ki rasmen
jab aam thin hum dil walon mein
ab apne phike honTon par
kuchh jalte bujhte lafzon ke
yaqut pighalte rahte hain
ab apni gum-sum aankhon mein
kuchh dhul hai bikhri yaadon ki
kuchh gard-alud se mausam hain
ab dhup ugalti sochon mein
kuchh paiman jalte rahte hain
ab apne viran aangan mein
jitni subhon ki chandi hai
jitni shamon ka sona hai
us ko KHakistar hona hai
ab ye baaten rahne dije
jis umr mein qisse bante the
us umr ka gham sahne dije
ab apni ujDi aankhon mein
jitni raushan si raaten hain
us umr ki sab saughaten hain
jis umr ke KHwab KHayal hue
wo pichhli umr thi bit gai
wo umr bitae sal hue
ab apni did ke raste mein
kuchh rang hai guzre lamhon ka
kuchh ashkon ki baraaten hain
kuchh bhule-bisre chehre hain
kuchh yaadon ki barsaten hain
ye pichhle ishq ki baaten hain
- Book : Kulliyat-e-mohsin (Pg. 709)
- Author : Mohsin Naqvi
- Publication : Mavra Publishers (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.