ye raat
sitāre chup haiñ ki chaltī hai tez tez havā
ye raat apnī mohabbat kī raat bhī to nahīñ
fazā meñ yādoñ ke jugnū chamak rahe haiñ abhī
hasīn yādoñ ko lekin sabāt bhī to nahīñ
ġham-e-hayāt se mānūs ho chalā hai dil
na.e na.e hī sahī sānehāt bhī to nahīñ
badal ke rakh deñ jo lail-o-nahār duniyā ke
abhī hayāt ke vo hādsāt bhī to nahīñ
vahī hai ḳhūn-e-tamannā vahī hai hasrat-e-ġham
ye maut bhī to nahīñ hai hayāt bhī to nahīñ
ye raat johd-e-musalsal kī ek raat sahī
tabāhiyoñ ko liye baar baar guzregī
koī batā.e kahāñ tak ki zindagī kī ye raat
fasurda guzrī hai aur sogvār guzregī
abhī to roz yahī fikr hai ji.eñ kaise
abhī to raat yūñhī be-qarār guzregī
sukūn-e-dil ke liye aaj bhī yaqīñ sā hai
yahī chaman se ḳhizāñ sharmsār guzregī
na.e charāġh jalā.eñ umīd-e-fardā se
kabhī to vādi-e-ġham se bahār guzregī
ye raat ek na.ī yādgār laa.ī hai
sajā ke zaḳhmoñ ke phūloñ kā haar laa.ī hai
sitare chup hain ki chalti hai tez tez hawa
ye raat apni mohabbat ki raat bhi to nahin
faza mein yaadon ke jugnu chamak rahe hain abhi
hasin yaadon ko lekin sabaat bhi to nahin
gham-e-hayat se manus ho chala hai dil
nae nae hi sahi sanehat bhi to nahin
badal ke rakh den jo lail-o-nahaar duniya ke
abhi hayat ke wo hadsat bhi to nahin
wahi hai KHun-e-tamanna wahi hai hasrat-e-gham
ye maut bhi to nahin hai hayat bhi to nahin
ye raat johd-e-musalsal ki ek raat sahi
tabahiyon ko liye bar bar guzregi
koi batae kahan tak ki zindagi ki ye raat
fasurda guzri hai aur sogwar guzregi
abhi to roz yahi fikr hai jien kaise
abhi to raat yunhi be-qarar guzregi
sukun-e-dil ke liye aaj bhi yaqin sa hai
yahi chaman se KHizan sharmsar guzregi
nae charagh jalaen umid-e-farda se
kabhi to wadi-e-gham se bahaar guzregi
ye raat ek nai yaadgar lai hai
saja ke zaKHmon ke phulon ka haar lai hai
- Book : shahr-e-aarzu(rekhta website) (Pg. 114)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.