Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye rail sawari lohe ki

Ataur Rahman Tariq

ye rail sawari lohe ki

Ataur Rahman Tariq

MORE BYAtaur Rahman Tariq

    is dil meñ aag jo jaltī hai

    ye rail usī se chaltī hai

    ye rail hamīñ se chaltī hai

    ye rail savārī lohe

    jokhim hai to kyā Darnā hai

    jo karnā hai vo karnā hai

    haañ jiinā hai to jiinā hai

    haañ marnā hai to marnā hai

    sach hai kab honī Taltī hai

    ye rail to phir bhī chaltī hai

    ye rail savārī lohe

    paTrī ke jaal bichhāte haiñ

    naddī par pul ban jaate haiñ

    ye hastī hai ham logoñ ko

    ham log jo rail chalāte haiñ

    signal aañkh badaltī hai

    ye rail damā-dam chaltī hai

    ye rail hamīñ se chaltī hai

    ye rail savārī lohe

    engine maan hamīñ se hai

    pahiyoñ meñ jaan hamīñ se hai

    jo giit sunā.ī detā hai

    us har taan hamīñ se hai

    is tan se bhaap nikaltī hai

    ye rail tabhī to chaltī hai

    ye rail hamīñ se chaltī hai

    ye rail savārī lohe

    is dil mein aag jo jalti hai

    ye rail usi se chalti hai

    ye rail hamin se chalti hai

    ye rail sawari lohe ki

    jokhim hai to kya Darna hai

    jo karna hai wo karna hai

    han jina hai to jina hai

    han marna hai to marna hai

    sach hai kab honi Talti hai

    ye rail to phir bhi chalti hai

    ye rail sawari lohe ki

    paTri ke jal bichhate hain

    naddi par pul ban jate hain

    ye hasti hai hum logon ko

    hum log jo rail chalate hain

    signal ki aankh badalti hai

    ye rail dama-dam chalti hai

    ye rail hamin se chalti hai

    ye rail sawari lohe ki

    engine ka man hamin se hai

    pahiyon mein jaan hamin se hai

    jo git sunai deta hai

    us ki har tan hamin se hai

    is tan se bhap nikalti hai

    ye rail tabhi to chalti hai

    ye rail hamin se chalti hai

    ye rail sawari lohe ki

    Source :

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now