ye rasta
in daraḳhtoñ ke gahre ghane, ḳhvāb-ālud saa.e meñ
ḳhāmosh, hairān chaltā huaa... ek rasta
kisī duur ki... raushnī kī taraf jā rahā hai
yahāñ se jo dekho to jaise... kahīñ hadd-e-imkāñ talak
gum-shuda vaqt jaisī añdherī guphā hai
yahāñ se jo dekho... to
ummīd jaisā bahut hairat-afzā... ajab silsila hai
jo is tañg, tārīk nuqte se
mumkin ke mānind, ik raushnī-zād qarye kī jānib khulā hai
fazā meñ kahīñ nīl-gūñ sabz, halke sunahre
kahīñ bas hare hī hare... saḳht gahre
bahut ūñghte Dolte rañg
sūkhe hue surḳh pattoñ ke mānind
us be-amāñ rāste par paḌe haiñ
kiran bhūlī-bhaTkī koī
un se aa kar achānak jo milne lagī hai
to yak-bārgī chauñk kar... sab damakne lage haiñ
añdhere kī is hadd-e-imkāñ talak
tañg, gahrī guphā meñ...
sabhī yaad ke jugnuoñ kī tarah
uḌte uḌte chamakne lage haiñ
yahāñ se jo dekho... to
nādīda manzil kī mauhūm hairat se
āñkheñ, har ik ḳhvāb kī niim vā haiñ
tamannāoñ ke dil dhaḌakne lage haiñ!
in daraKHton ke gahre ghane, KHwab-alud sae mein
KHamosh, hairan chalta hua ek rasta
kisi dur ki raushni ki taraf ja raha hai
yahan se jo dekho to jaise kahin hadd-e-imkan talak
gum-shuda waqt jaisi andheri gupha hai
yahan se jo dekho to
ummid jaisa bahut hairat-afza ajab silsila hai
jo is tang, tarik nuqte se
mumkin ke manind, ek raushni-zad qarye ki jaanib khula hai
faza mein kahin nil-gun sabz, halke sunahre
kahin bas hare hi hare saKHt gahre
bahut unghte Dolte rang
sukhe hue surKH patton ke manind
us be-aman raste par paDe hain
kiran bhuli-bhaTki koi
un se aa kar achanak jo milne lagi hai
to yak-bargi chaunk kar sab damakne lage hain
andhere ki is hadd-e-imkan talak
tang, gahri gupha mein
sabhi yaad ke jugnuon ki tarah
uDte uDte chamakne lage hain
yahan se jo dekho to
nadida manzil ki mauhum hairat se
aankhen, har ek KHwab ki nim wa hain
tamannaon ke dil dhaDakne lage hain!
- Book : Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 92)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : H.No.-21, Street No. 2, Phase II, Bahriya Town, Rawalpindi (Volume:15, Issue No. 1, 2, Jan To June.2011)
- Edition : Volume:15, Issue No. 1, 2, Jan To June.2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.