Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye sarae hai

Ibn e Insha

ye sarae hai

Ibn e Insha

MORE BYIbn e Insha

    ye sarā.e hai yahāñ kis Thikānā DhūñDo

    yaañ to aate haiñ musāfir so chale jaate haiñ

    haañ yahī naam thā kuchh aisā chehrā-mohrā

    yaad paḌtā hai ki aayā thā musāfir koī

    suune āñgan meñ phirā kartā thā tanhā tanhā

    kitnī gahrī thī nigāhoñ udāsī us

    log kahte the ki hogā koī āseb-zada

    ham ne aisī bhī koī baat na dekhī us meñ

    ye bhī himmat na huī paas biThā ke pūchheñ

    dil ye kahtā thā koī dard maarā hogā

    lauT aayā hai jo āvāz na us paa.ī

    jaane kis dar pe kise ke pukārā hogā

    yaañ to har roz bāteñ haiñ ye jīteñ māteñ

    ye bhī chāhat ke kisī khel meñ haarā hogā

    ek tasvīr kuchh aap se miltī jultī

    ek tahrīr thī par us to qissa chhoḌeñ

    chand ġhazleñ thiiñ ki likkheñ kabhī likh kar kāTeñ

    sher achchhe the jo sun lo to kaleja thāmo

    bas yahī maal musāfir thā ham ne dekhā

    jaane kis raah meñ kis shaḳhs ne luuTā us ko

    guzrā karte haiñ sulagte hue baaqī ayyām

    log jab aag lagāte haiñ bujhāte bhī bhī nahīñ

    ajnabī piit ke māroñ se kasī ko kyā kaam

    bastiyoñ vaale kabhī naaz uThāte bhī nahīñ

    chhīn lete haiñ kisī shaḳhs ke ārām

    phir bulāte bhī nahīñ paas biThāte bhī nahīñ

    ek din sub.h jo dekhā to sarā.e meñ na thā

    jaane kis des gayā hai vo divānā DhūñDo!!

    ham se pūchho to na aa.egā vo jaane vaalā

    tum to nāhaq ko bhaTakne bahānā DhūñDo

    yaañ to aayā jo musāfir yuuñ shab-bhar Thahrā

    ye sarā.e hai yahāñ kis Thikānā DhūñDo

    ye sarae hai yahan kis ka Thikana DhunDo

    yan to aate hain musafir so chale jate hain

    han yahi nam tha kuchh aisa hi chehra-mohra

    yaad paDta hai ki aaya tha musafir koi

    sune aangan mein phira karta tha tanha tanha

    kitni gahri thi nigahon ki udasi us ki

    log kahte the ki hoga koi aaseb-zada

    hum ne aisi bhi koi baat na dekhi us mein

    ye bhi himmat na hui pas biTha ke puchhen

    dil ye kahta tha koi dard ka mara hoga

    lauT aaya hai jo aawaz na us ki pai

    jaane kis dar pe kise ja ke pukara hoga

    yan to har roz ki baaten hain ye jiten maten

    ye bhi chahat ke kisi khel mein haara hoga

    ek taswir kuchh aap se milti julti

    ek tahrir thi par us ka to qissa chhoDen

    chand ghazlen thin ki likkhen kabhi likh kar kaTen

    sher achchhe the jo sun lo to kaleja thamo

    bas yahi mal musafir ka tha hum ne dekha

    jaane kis rah mein kis shaKHs ne luTa us ko

    guzra karte hain sulagte hue baqi ayyam

    log jab aag lagate hain bujhate bhi bhi nahin

    ajnabi pit ke maron se kasi ko kya kaam

    bastiyon wale kabhi naz uThate bhi nahin

    chhin lete hain kisi shaKHs ke ji ka aaram

    phir bulate bhi nahin pas biThate bhi nahin

    ek din subh jo dekha to sarae mein na tha

    jaane kis des gaya hai wo diwana DhunDo!!

    hum se puchho to na aaega wo jaane wala

    tum to nahaq ko bhaTakne ka bahana DhunDo

    yan to aaya jo musafir yun hi shab-bhar Thahra

    ye sarae hai yahan kis ka Thikana DhunDo

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now