ye shahr
ye shahr ġham ke añdheroñ meñ raushnī jaisā
ye shahr
maut kī vaadī meñ zindagī jaisā
ye shahr
jo kabhī dillī dikhā.ī detā hai
ye shahr
jo kabhī lagtā hai bamba.ī jaisā
kabhī akele meñ
is shahr kī siyāsat par jo sochtā huuñ
to lagtā hai
ek dhokā hai
ye shahr
jis kī fazāoñ se maiñ ne joḌā hai
ik aisā rishta-e-ummīd
jo 'azīm bhī hai
ik aisā rishta-e-ummīd
jo qadīm bhī hai
ye shahr
jis ke liye apnā gaañv chhoḌā
ye shahr
rah ke jahāñ qatl ho rahā huuñ maiñ
ye shahr
aa ke jahāñ
pichhle aaTh barsoñ se
bikhar rahā huuñ
vajūd apnā kho rahā huuñ maiñ
ye shahr gham ke andheron mein raushni jaisa
ye shahr
maut ki wadi mein zindagi jaisa
ye shahr
jo kabhi dilli dikhai deta hai
ye shahr
jo kabhi lagta hai bambai jaisa
kabhi akele mein
is shahr ki siyasat par jo sochta hun
to lagta hai
ek dhoka hai
ye shahr
jis ki fazaon se main ne joDa hai
ek aisa rishta-e-ummid
jo 'azim bhi hai
ek aisa rishta-e-ummid
jo qadim bhi hai
ye shahr
jis ke liye apna ganw chhoDa
ye shahr
rah ke jahan qatl ho raha hun main
ye shahr
aa ke jahan
pichhle aaTh barson se
bikhar raha hun
wajud apna kho raha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.