ye tamasha-e-gah-e-alam kya hai
tum chaman-zād ho fitrat ke qarīñ rahte ho
dil ye kahtā hai ki tum mahram-e-asrār bhī ho
tumheñ fitrat kī bahāroñ kī qasam
ye tamāshā-gah-e-ālam kyā hai
nūr-e-ḳhurshīd kā jāñ-soz jahāñ-tāb jamāl
āsmānoñ pe sitāroñ kā subuk-kām ḳhirām
ye garajte hue bādal
ye samundar kā ḳharosh
ye parindoñ ke suhāne naġhme
kahīñ baḌhtī huī azmat kahīñ luTtā huā husn
be-sabab buḳhl farāvāñ-baḳhshī
qaht ālām masā.ib ke pahāḌ
aish ke khusravī-o-tantana-e-faġhfūrī
kahīñ parvez ke hiile kahīñ chañgez ke zulm
kahīñ shabbīrī-o-ibrāhīmī
raaz hī raaz hai hairat-kada-e-bazm-e-numūd
tum chaman-zād ho fitrat ke qarīñ rahte ho
ye tamāshā-gah-e-ālam kyā hai
nūr-e-mahtāb kī chādar le kar
ghaas sotī hī rahī
phuul lab band rahe
peḌ rahe mahv-e-sukūt
tund-rau bād-e-shumālī kā tarīḌā aayā
phuul teyorā se ga.e
peḌ hue sar-ba-sujūd
ghaas ne chādar-e-mahtāb meñ karvaT badlī
ye tamāshā-gah-e-ālam kyā hai
tum chaman-zad ho fitrat ke qarin rahte ho
dil ye kahta hai ki tum mahram-e-asrar bhi ho
tumhein fitrat ki bahaaron ki qasam
ye tamasha-gah-e-alam kya hai
nur-e-KHurshid ka jaan-soz jahan-tab jamal
aasmanon pe sitaron ka subuk-kaam KHiram
ye garajte hue baadal
ye samundar ka KHarosh
ye parindon ke suhane naghme
kahin baDhti hui azmat kahin luTta hua husn
be-sabab buKHl farawan-baKHshi
qaht aalam masaib ke pahaD
aish ke khusrawi-o-tantana-e-faghfuri
kahin parwez ke hile kahin changez ke zulm
kahin shabbiri-o-ibrahimi
raaz hi raaz hai hairat-kada-e-bazm-e-numud
tum chaman-zad ho fitrat ke qarin rahte ho
ye tamasha-gah-e-alam kya hai
nur-e-mahtab ki chadar le kar
ghas soti hi rahi
phul lab band rahe
peD rahe mahw-e-sukut
tund-rau baad-e-shumali ka tariDa aaya
phul teyora se gae
peD hue sar-ba-sujud
ghas ne chadar-e-mahtab mein karwaT badli
ye tamasha-gah-e-alam kya hai
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 78)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.