ye tumne kya kaha tha
ye tum ne kyā kahā thā
is niile ākāsh ko baḌh ke chhūnā hai
har lamha aage baḌhte rahnā hai
lekin ai kaash aisā hotā
tum mujh se bichhaḌ na paate
maiñ raah kī har ik dushvārī ko
hañste hañste sah letī
dard kā jangal raste meñ
gar aa jaatā
na maiñ Dartī na ghabrātī
ākāsh ko baḌh ke
chhū letī
chāñd sitāre toḌ ke
maiñ le aatī
lekin ab raste pe
khaḌī huuñ maiñ tanhā
aur soch rahī huuñ
jo tum ne kahā thā mujh se
jo va.ada liyā thā mujh se
himmat jur.at
lafzoñ kī hurmat pe qaa.em rah kar
apne qalam kī sachchā.ī ko saath
hamesha rakh kar
aage baḌhte rahnā
ākāsh ko baḌh ke chhū lenā
ye va.ada puurā karnā hai
aur aage baḌhte rahnā hai
ye tum ne kya kaha tha
is nile aakash ko baDh ke chhuna hai
har lamha aage baDhte rahna hai
lekin ai kash aisa hota
tum mujh se bichhaD na pate
main rah ki har ek dushwari ko
hanste hanste sah leti
dard ka jangal raste mein
gar aa jata
na main Darti na ghabraati
aakash ko baDh ke
chhu leti
chand sitare toD ke
main le aati
lekin ab raste pe
khaDi hun main tanha
aur soch rahi hun
jo tum ne kaha tha mujh se
jo wada liya tha mujh se
himmat jurat
lafzon ki hurmat pe qaem rah kar
apne qalam ki sachchai ko sath
hamesha rakh kar
aage baDhte rahna
aakash ko baDh ke chhu lena
ye wada pura karna hai
aur aage baDhte rahna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.