ye wo basti hi nahin
zindagī tū mujhe kis moḌ pe le aa.ī hai
ḳhvāb khulte the jahāñ barf vahāñ chhā.ī hai
sau darīche haiñ magar sham.a kisī par bhī nahīñ
chāñd nikle mirī rātoñ kā muqaddar bhī nahīñ
kyā karūñ kyā na karūñ haath meñ patthar bhī nahīñ
shīsh-mahloñ ko koī ġham bhī nahīñ Dar bhī nahīñ
log gūñge haiñ bayābāñ meñ azaañ kaise ho
log qātil haiñ ilāj-e-ġham-e-jāñ kaise ho
log patthar haiñ to ehsās-e-ziyāñ kaise ho
kis ko fursat hai jo pūchhe ki miyāñ kaise ho
raat jab ḳhatm huī thī to sahar lagtī thī
raushnī rāhguzar rāhguzar lagtī thī
zindagī kūcha-e-jānāñ kā safar lagtī thī
apnī manzil kahīñ jannat ke udhar lagtī thī
kuchh bhī āñkhoñ meñ nahīñ ashk-e-nadāmat ke sivā
kuchh bhī dāman meñ nahīñ dāġh-e-malāmat ke sivā
kuchh bhī chehre pe nahīñ gard-e-masāfat ke sivā
apnī dūkān meñ sab kuchh hai mohabbat ke sivā
zindagi tu mujhe kis moD pe le aai hai
KHwab khulte the jahan barf wahan chhai hai
sau dariche hain magar shama kisi par bhi nahin
chand nikle meri raaton ka muqaddar bhi nahin
kya karun kya na karun hath mein patthar bhi nahin
shish-mahlon ko koi gham bhi nahin Dar bhi nahin
log gunge hain bayaban mein azan kaise ho
log qatil hain ilaj-e-gham-e-jaan kaise ho
log patthar hain to ehsas-e-ziyan kaise ho
kis ko fursat hai jo puchhe ki miyan kaise ho
raat jab KHatm hui thi to sahar lagti thi
raushni rahguzar rahguzar lagti thi
zindagi kucha-e-jaanan ka safar lagti thi
apni manzil kahin jannat ke udhar lagti thi
kuchh bhi aankhon mein nahin ashk-e-nadamat ke siwa
kuchh bhi daman mein nahin dagh-e-malamat ke siwa
kuchh bhi chehre pe nahin gard-e-masafat ke siwa
apni dukan mein sab kuchh hai mohabbat ke siwa
- Book : Agar Darya Mila Hota (Pg. 158)
- Author : Qaisar-ul-Jafari
- Publication : Faran Publishers Mumbai (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.