Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye zard bachche

Balraj Komal

ye zard bachche

Balraj Komal

MORE BYBalraj Komal

    gharoñ raunaq

    ye zard bachche

    paḌheñ likheñge javān hoñge

    ma.āsh fikr in qismat

    talāsh-e-fardā hayāt in

    ye rahguzāroñ pe apne mauhūm ḳhvāb le kar phirā kareñge

    ye ghar banā.eñge shādyāne bajā.eñge aane vaale rañgīñ dinoñ ḳhātir

    ye chand luqmoñ zindagī ma.aal samjheñge hasb-e-dastūr

    umr bhar un ko uñgliyoñ par ginā kareñge

    ye merā hissa

    ye terā hissa

    phir ek din

    ye bhī zard bachchoñ ke baap hoñge

    aur un ḳhātir duā kareñge

    darāz ho in umr dekheñ ye sau bahāreñ

    gharon ki raunaq

    ye zard bachche

    paDhen likhenge jawan honge

    maash ki fikr in ki qismat

    talash-e-farda hayat in ki

    ye rahguzaron pe apne mauhum KHwab le kar phira karenge

    ye ghar banaenge shadyane bajaenge aane wale rangin dinon ki KHatir

    ye chand luqmon ki zindagi ka maal samjhenge hasb-e-dastur

    umr bhar un ko ungliyon par gina karenge

    ye mera hissa

    ye tera hissa

    phir ek din

    ye bhi zard bachchon ke bap honge

    aur un ki KHatir dua karenge

    daraaz ho in ki umr dekhen ye sau bahaaren

    Source :
    • Book : azadi ke bad urdu nazm (Pg. 421)
    • Author : shamim hanfi and mazhar mahdi
    • Publication : qaumi council bara-e-farogh urdu (2005)
    • Edition : 2005

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now