yun to is duniya ki har ek chiz niyari hai
yuuñ to is duniyā kī har ik chiiz niyārī hai
lekin apne des kī dhartī sab se pyārī hai
chandā māmūñ niil gagan meñ achchhe lagte haiñ
raushan raushan taare kaise pyāre lagte haiñ
niil gagan ne apnī mahfil ḳhuub sañvārī hai
khet sunahre bādal gahre mausam pyāre haiñ
manzar manzar phuul khilāte ḳhvāb hamāre haiñ
allāh ke in.aam kā kaisā chashma jaarī hai
yuuñ to is duniyā kī har ik chiiz niyārī hai
lekin apne des kī dhartī sab se pyārī hai
yun to is duniya ki har ek chiz niyari hai
lekin apne des ki dharti sab se pyari hai
chanda mamun nil gagan mein achchhe lagte hain
raushan raushan tare kaise pyare lagte hain
nil gagan ne apni mahfil KHub sanwari hai
khet sunahre baadal gahre mausam pyare hain
manzar manzar phul khilate KHwab hamare hain
allah ke inam ka kaisa chashma jari hai
yun to is duniya ki har ek chiz niyari hai
lekin apne des ki dharti sab se pyari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.