zaban-daraaz
maiñ apnī bīmārī batāne se ma.azūr huuñ
mujhe zabān kī ajiib bīmārī ho ga.ī hai
so guftugū se parhez karne par majbūr huuñ
merā lahja karaḳht aur āvāz bhārī ho ga.ī hai
zabān meñ fī lafz ek inch izāfa ho rahā hai
pahle bhī to ye kāñdhoñ par paḌī thī
tumheñ merī mushkil kā andāza ho rahā hai
tum jo mujh se baat karne par aḌī thiiñ
āḳhirī takrār ke baad maiñ ne zabān sameT lī hai
ab maiñ ek lafz bhī mazīd nahīñ bolūñgā
khīñch-tān kar zabān apne badan par lapeT lī hai
duā nahīñ karūñgā girah nahīñ kholūñgā
har paslī dūsrī paslī meñ dhañstī jā rahī hai
merī zabān mere badan par kastī jā rahī hai
main apni bimari batane se mazur hun
mujhe zaban ki ajib bimari ho gai hai
so guftugu se parhez karne par majbur hun
mera lahja karaKHt aur aawaz bhaari ho gai hai
zaban mein fi lafz ek inch izafa ho raha hai
pahle bhi to ye kandhon par paDi thi
tumhein meri mushkil ka andaza ho raha hai
tum jo mujh se baat karne par aDi thin
aaKHiri takrar ke baad main ne zaban sameT li hai
ab main ek lafz bhi mazid nahin bolunga
khinch-tan kar zaban apne badan par lapeT li hai
dua nahin karunga girah nahin kholunga
har pasli dusri pasli mein dhansti ja rahi hai
meri zaban mere badan par kasti ja rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.