zaban-e-dargor
sabā us se ye kah jo us taraf ho kar guzartā ho
qadam o jaane vaale rok merā haal suntā jā
kabhī maiñ bhī javāñ thā maiñ bhī husn-o-ilm rakhtā thā
vahī maiñ huuñ mujhe ab dekh agar chashm-e-tamāshā ho
javānī kī umañgeñ shauq-e-ilmī zehn-o-tabbā.ī
zakāvat hausla hilm-o-muravvat rahm-o-ġham-ḳhvārī
ḳhayāl-e-aqrabā ahbāb ke aiboñ kī sattārī
qanā.at dost mujh se duur kosoñ buġhz-o-tammā.ī
ġharaz aisī bahut sī ḳhūbiyāñ thiiñ maut ne lekin
banā Daalā mire ātish-kade ko ḳhaak kā tuudā
sharāroñ ke evaz ab bah rahā hai barf kā dariyā
musāfir ġhaur se sun gor se bachnā hai nā-mumkin
saba us se ye kah jo us taraf ho kar guzarta ho
qadam o jaane wale rok mera haal sunta ja
kabhi main bhi jawan tha main bhi husn-o-ilm rakhta tha
wahi main hun mujhe ab dekh agar chashm-e-tamasha ho
jawani ki umangen shauq-e-ilmi zehn-o-tabbai
zakawat hausla hilm-o-murawwat rahm-o-gham-KHwari
KHayal-e-aqraba ahbab ke aibon ki sattari
qanaat dost mujh se dur koson bughz-o-tammai
gharaz aisi bahut si KHubiyan thin maut ne lekin
bana Dala mere aatish-kade ko KHak ka tuda
shararon ke ewaz ab bah raha hai barf ka dariya
musafir ghaur se sun gor se bachna hai na-mumkin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.