zaban jis ko har ek bole usi ka nam hai urdu
zabāñ jis ko har ik bole usī kā naam hai urdu
zabān-e-sher meñ fitrat kā ik in.aam hai urdu
sabhī is ko samajhte haiñ sabhī meñ aam hai urdu
zabāñ koī bhī ho har ek kā anjām hai urdu
ga.e vo din ki jab kuchh log hī is ko samajhte the
zabānoñ meñ ubhar aa.ī hai tasht-az-bām hai urdu
kahīñ hai ibtidā is kī kahīñ hai intihā maz.har
kahīñ āġhāz hai urdu kahīñ anjām hai urdu
ye bā-aḳhlāq qaumoñ meñ sirishta hai uḳhuvvat kā
sulūk-e-ġhair se bhī aaj ḳhush-anjām hai urdu
muraqqa.a hai hasīñ tahrīk-e-afsānī ke ḳhākoñ kā
mukammal ijtimā-e-gauhar-ayyām hai urdu
urūs-e-zindagī kī tāb-o-zīnat jis zabāñ se hai
usī ḳhush-kām fitrat kā achhūtā naam hai urdu
dayār-e-pāk yā hindostāñ donoñ vatan is ke
zabāñ har ek jis meñ qaid hai vo daam hai urdu
zarā sī Thes se bhī shīsha-e-dil TuuT jaatā hai
bahut nāzuk magar az-qism istihkām hai urdu
ba-har-unvāñ yahī ik peshvā-e-husn-o-ḳhūbī hai
ġhalat hai asia meñ morid-e-ilzām hai urdu
mamālik-ġhair meñ bhī aaj is ko sab samajhte haiñ
vatan vāloñ meñ ek tasvīr-e-sad-aqvām hai urdu
kisī firqe kā leader ho vo leader ban nahīñ saktā
na samjhe jab talak jantā meñ kitnī aam hai urdu
safārat ho cinema ho ki T.v radio sab meñ
suroñ kā nashsha hai fikr-o-nazar kā jaam hai urdu
isī ko bolne meñ ruuh ko ab hai sukūñ hāsil
zamāne kī zabānoñ ke liye paiġhām hai urdu
musalsal irtaqā-e-ādamiyat is se maz.har hai
ba-qaid-e-nutq-e-'mājid' rahbar-e-aqvām hai urdu
zaban jis ko har ek bole usi ka nam hai urdu
zaban-e-sher mein fitrat ka ek inam hai urdu
sabhi is ko samajhte hain sabhi mein aam hai urdu
zaban koi bhi ho har ek ka anjam hai urdu
gae wo din ki jab kuchh log hi is ko samajhte the
zabanon mein ubhar aai hai tasht-az-baam hai urdu
kahin hai ibtida is ki kahin hai intiha mazhar
kahin aaghaz hai urdu kahin anjam hai urdu
ye ba-aKHlaq qaumon mein sirishta hai uKHuwwat ka
suluk-e-ghair se bhi aaj KHush-anjam hai urdu
muraqqa hai hasin tahrik-e-afsani ke KHakon ka
mukammal ijtima-e-gauhar-ayyam hai urdu
urus-e-zindagi ki tab-o-zinat jis zaban se hai
usi KHush-kaam fitrat ka achhuta nam hai urdu
dayar-e-pak ya hindostan donon watan is ke
zaban har ek jis mein qaid hai wo dam hai urdu
zara si Thes se bhi shisha-e-dil TuT jata hai
bahut nazuk magar az-qism istihkaam hai urdu
ba-har-unwan yahi ek peshwa-e-husn-o-KHubi hai
ghalat hai asia mein morid-e-ilzam hai urdu
mamalik-ghair mein bhi aaj is ko sab samajhte hain
watan walon mein ek taswir-e-sad-aqwam hai urdu
kisi firqe ka leader ho wo leader ban nahin sakta
na samjhe jab talak janta mein kitni aam hai urdu
safarat ho cinema ho ki Tw radio sab mein
suron ka nashsha hai fikr-o-nazar ka jam hai urdu
isi ko bolne mein ruh ko ab hai sukun hasil
zamane ki zabanon ke liye paigham hai urdu
musalsal irtaqa-e-adamiyat is se mazhar hai
ba-qaid-e-nutq-e-'majid' rahbar-e-aqwam hai urdu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.