zaban
kisī buzurg se ik roz maiñ ne ye pūchhā
bhalā durustī-e-īmān kā hai kyā nusḳha
kahā buzurg ne apnī zabān achchhī rakh
girah meñ bāñdh ke merī ye baat sachchī rakh
zabāñ durust to phir dil durust hai terā
ho dil durust to īmān puḳhta-tar hogā
zabāñ aham hai badan ke tamām a.azā meñ
milā zabān ko a.alā maqām a.azā meñ
zabāñ sañbhāl ke rakhtā hai har koī taa.ib
zabān jism meñ hotī hai aql kī naa.eb
zabān dil kī jo bāteñ bayān kartī hai
to dil meñ baat zabāñ kī har ik utartī hai
zabān achchhī agar hai to dil bhī raushan hai
zabāñ ḳharāb to dil zulmatoñ kā madfan hai
zabāñ se baat jis andāz kī nikaltī hai
usī lihāz se dil kī adā badaltī hai
tamām jism ko gar mamlikat kahā jaa.e
to baat sab kī samajh meñ ye saaf aa jaa.e
hukūmat aañkh kī mahdūd hai basārat tak
to kaan kī hai hukūmat mahz samā.at tak
har ek uzv ne paayā hai ek hī ḳhitta
zabāñ ke taabe magar mamlikat kā har hissa
zabāñ vaqār ko insān ke baḌhātī hai
yahī zabān magar saakh bhī ghaTātī hai
zabān achchhī hai terī to phir ye rahmat hai
zabāñ ḳharāb hai terī to phir ye zahmat hai
kisi buzurg se ek roz main ne ye puchha
bhala durusti-e-iman ka hai kya nusKHa
kaha buzurg ne apni zaban achchhi rakh
girah mein bandh ke meri ye baat sachchi rakh
zaban durust to phir dil durust hai tera
ho dil durust to iman puKHta-tar hoga
zaban aham hai badan ke tamam aaza mein
mila zaban ko aala maqam aaza mein
zaban sanbhaal ke rakhta hai har koi taib
zaban jism mein hoti hai aql ki naeb
zaban dil ki jo baaten bayan karti hai
to dil mein baat zaban ki har ek utarti hai
zaban achchhi agar hai to dil bhi raushan hai
zaban KHarab to dil zulmaton ka madfan hai
zaban se baat jis andaz ki nikalti hai
usi lihaz se dil ki ada badalti hai
tamam jism ko gar mamlikat kaha jae
to baat sab ki samajh mein ye saf aa jae
hukumat aankh ki mahdud hai basarat tak
to kan ki hai hukumat mahz samaat tak
har ek uzw ne paya hai ek hi KHitta
zaban ke tabe magar mamlikat ka har hissa
zaban waqar ko insan ke baDhati hai
yahi zaban magar sakh bhi ghaTati hai
zaban achchhi hai teri to phir ye rahmat hai
zaban KHarab hai teri to phir ye zahmat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.