zafar
sub.h farġhāna meñ thī aur huī rañgoñ meñ shaam
āl-e-taimūr kī āshufta-sarī tujh ko salām
lama-e-āḳhir ḳhurshed sirajuddīn thā
maqtā-e-dard fazā-e-ġhazal-e-rañgīñ thā
vo shah-e-nek-nafs nek-nasab nek-nazhād
vo shah-e-nek-nazar nek-nishāñ nek-nihād
paikar-e-ḳhalq-o-vafā ḳhūgar-e-āmāl-e-husn
ḳhusrav-e-fikr-o-rasā bādshah-e-fahm-o-fatin
sāhab-e-tarz-e-nevī mālik-e-andāz-e-kuhan
faḳhr-e-dīñ faḳhr-e-zamīñ faḳhr-e-zamāñ faḳhr-e-zaman
lāl-qile kā vo suufī vo mohabbat kā amiiñ
jis kī miTTī se bhī mahrūm hai dillī kī zamīñ
martaba-dān-e-adībān-o-hakīmān-e-vatan
qadr-dān-e-sher ai hama-dān-o-hama-fan
'ġhālib'-o-'zauq' ke afkār kā vo qadr-shanās
jis ko thā 'momin'-o-'āzurda' kī azmat kā paas
arz-e-dillī ne baġhāvat kā jab elaan kiyā
surḳh-rū ho gayā aulād ko qurbān kiyā
jab bidesī kī hukūmat se zamīñ tañg huī
usī qaa.id kī qayādat meñ baḌī jañg huī
jis kā darbār thā ik majma.a-e-ālī-nishāñ
jis jagah kausar-o-tasnīm se dhultī thī zabāñ
sāz-e-hindī kī navā naġhma-e-urdū kī sadā
jis ke ash.ār se aatī hai uḳhuvvat kī nidā
mard-e-darvesh sharāfat kā gunahgār bhī thā
pārsā riñd bhī thā shā.ir-e-dīn-dār bhī thā
jis ko kahte haiñ zamīnoñ kā shah-e-arsh-nishāñ
mushkil asnāf-e-suḳhan jis ke liye the āsāñ
na ho agarche zafar-mand-o-zafar-yāb magar
falak-e-sher pe tābinda hai az-nām-e-zafar
subh farghana mein thi aur hui rangon mein sham
aal-e-taimur ki aashufta-sari tujh ko salam
lama-e-aKHir KHurshed sirajuddin tha
maqta-e-dard faza-e-ghazal-e-rangin tha
wo shah-e-nek-nafs nek-nasab nek-nazhad
wo shah-e-nek-nazar nek-nishan nek-nihad
paikar-e-KHalq-o-wafa KHugar-e-amal-e-husn
KHusraw-e-fikr-o-rasa baadshah-e-fahm-o-fatin
sahab-e-tarz-e-newi malik-e-andaz-e-kuhan
faKHr-e-din faKHr-e-zamin faKHr-e-zaman faKHr-e-zaman
lal-qile ka wo sufi wo mohabbat ka amin
jis ki miTTi se bhi mahrum hai dilli ki zamin
martaba-dan-e-adiban-o-hakiman-e-watan
qadr-dan-e-sher ai hama-dan-o-hama-fan
'ghaalib'-o-'zauq' ke afkar ka wo qadr-shanas
jis ko tha 'momin'-o-'azurda' ki azmat ka pas
arz-e-dilli ne baghawat ka jab elan kiya
surKH-ru ho gaya aulad ko qurban kiya
jab bidesi ki hukumat se zamin tang hui
usi qaid ki qayaadat mein baDi jang hui
jis ka darbar tha ek majma-e-ali-nishan
jis jagah kausar-o-tasnim se dhulti thi zaban
saz-e-hindi ki nawa naghma-e-urdu ki sada
jis ke ashaar se aati hai uKHuwwat ki nida
mard-e-darwesh sharafat ka gunahgar bhi tha
parsa rind bhi tha shair-e-din-dar bhi tha
jis ko kahte hain zaminon ka shah-e-arsh-nishan
mushkil asnaf-e-suKHan jis ke liye the aasan
na ho agarche zafar-mand-o-zafar-yab magar
falak-e-sher pe tabinda hai az-nam-e-zafar
- Book : Kulliyat-e-Arsh (Pg. 326)
- Author : Arsh Malsiyani
- Publication : Ali Imran Chaudhary
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.