īshvar kī hattyā karne ke ba.ad
ek be-kohān lañgḌe uuñT par
har ujālā aur añdherā phāñdtā
saur-mandal ke marusthal meñ
hirāsāñ bhāgtā huuñ
mere pīchhe aane vaalā
chīḳhte chiñghāḌte bichhḌe gajoñ kā ġhol
mujh ko
zad se bāhar dekh
vāpas jā rahā hai
aur maqtūl īshvar kī
aatmā kī
vish bujhī kuchh sūiyāñ sī
rome chhidroñ meñ musalsal chubh rahī haiñ
aur saare jism meñ
ḳhauf ghultā jā rahā hai
ishwar ki hattya karne ke baad
ek be-kohan langDe unT par
har ujala aur andhera phandta
saur-mandal ke marusthal mein
hirasan bhagta hun
mere pichhe aane wala
chiKHte chinghaDte bichhDe gajon ka ghol
mujh ko
zad se bahar dekh
wapas ja raha hai
aur maqtul ishwar ki
aatma ki
wish bujhi kuchh suiyan si
rome chhidron mein musalsal chubh rahi hain
aur sare jism mein
KHauf ghulta ja raha hai
- Book : azadi ke bad urdu nazm (Pg. 757)
- Author : shamim hanfi and mazhar mahdi
- Publication : qaumi council bara-e-farogh urdu (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.