zahr hi zahr ki dawa hai
barahna pinDlī pe
saañp ḳhvāhish kī uñgliyoñ ke
jo sarsarā.e
to lazzatoñ kī hatheliyoñ meñ
kabūtaroñ ke gudāz jismoñ
kī dhīmī garmī
sulag uThī hai
ki karb apne badan kā
sūkhe laboñ se
ab jhāñkne lagā hai
ḳhud apne ḳhuuñ kā tezāb
rag rag meñ dauḌtā hai
mujhe to ab koī naag Das le
ki zahr hī zahr kī davā hai
barahna pinDli pe
sanp KHwahish ki ungliyon ke
jo sarsarae
to lazzaton ki hatheliyon mein
kabutaron ke gudaz jismon
ki dhimi garmi
sulag uThi hai
ki karb apne badan ka
sukhe labon se
ab jhankne laga hai
KHud apne KHun ka tezab
rag rag mein dauDta hai
mujhe to ab koi nag Das le
ki zahr hi zahr ki dawa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.