zahr
chhapak kī
āvāz ke saath
zehn ke pāniyoñ meñ
girtā hai
lafzoñ kā patthar
bante bigaḌte
ehsāshoñ ke
ghere
miT jā.eñge
binā koī nishān chhoḌe
magar ye zahr-ālūda patthar
paḌe raheñge yuuñ hī
zehn kī
talhaTiyoñ meñ
reñgte
apnī hī tarah
zahr-ālūda
chhapak ki
aawaz ke sath
zehn ke paniyon mein
girta hai
lafzon ka patthar
bante bigaDte
ehsashon ke
ghere
miT jaenge
bina koi nishan chhoDe
magar ye zahr-aluda patthar
paDe rahenge yun hi
zehn ki
talhaTiyon mein
rengte
apni hi tarah
zahr-aluda
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.