zahrab-e-husn
husn ik kaif-e-jāvedānī hai
aur jo chiiz hai vo faanī hai
husn ke din bhī kaif-parvar haiñ
husn kī raat bhī suhānī hai
husn kī sub.h ik shikast-e-jamīl
husn kī shaam kāmrānī hai
ye kuchh afsāna-e-taḳhayyaul hai
kuchh haqīqat kī tarjumānī hai
kuchh tire husn kā karishma hai
kuchh mirī tab.a kī ravānī hai
husn ek kaif-e-jawedani hai
aur jo chiz hai wo fani hai
husn ke din bhi kaif-parwar hain
husn ki raat bhi suhani hai
husn ki subh ek shikast-e-jamil
husn ki sham kaamrani hai
ye kuchh afsana-e-taKHayyaul hai
kuchh haqiqat ki tarjumani hai
kuchh tere husn ka karishma hai
kuchh meri taba ki rawani hai
- Book : Kullyat-e-majaz (Pg. 185)
- Author : Asrarul Haque Majaz
- Publication : Kitabi Duniya (2006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.