zaKHira ghar muqaffal hain
Interesting Fact
(Funun, Lahore July-August 1973)
guzarte vaqt ke vīrāñ jazīroñ kī sazā peshāniyoñ par sabt hai
āzurdagī ke kiil jismoñ meñ gaḌe haiñ
bad-nasībī gardanoñ kā tauq hai
aur mehnatoñ ke haat ḳhālī haiñ
havā ke saath gandum kī mahak shahroñ meñ uḌtī hai
zaḳhīra ghar muqaffal haiñ
mashaqqat kā badal kaḌve kasīle mausamoñ kā zā.iqa hai
ham purānī jholiyāñ phailā.e ḳhvāhish ke añdhere rāstoñ par
ulTe laTke chīḳhte haiñ
aur ḳhush-fahmī kī miTTī par lakīreñ khīñchte haiñ
āsmāñ kī samt takte haiñ
ki shāyad rāt-din ke darmiyānī fāsloñ ke ḳhatm hone kī bashārat ho
dukhoñ ke kāġhazoñ pe sukh ibārat ho
guzarte waqt ke viran jaziron ki saza peshaniyon par sabt hai
aazurdagi ke kil jismon mein gaDe hain
bad-nasibi gardanon ka tauq hai
aur mehnaton ke hat KHali hain
hawa ke sath gandum ki mahak shahron mein uDti hai
zaKHira ghar muqaffal hain
mashaqqat ka badal kaDwe kasile mausamon ka zaiqa hai
hum purani jholiyan phailae KHwahish ke andhere raston par
ulTe laTke chiKHte hain
aur KHush-fahmi ki miTTi par lakiren khinchte hain
aasman ki samt takte hain
ki shayad raat-din ke darmiyani faslon ke KHatm hone ki bashaarat ho
dukhon ke kaghazon pe sukh ibarat ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.