zaKHmi raat
sūraj chhupā to raat ke par phailte ga.e
phir yuuñ huā ki tez havāoñ ke dosh se
āñdhī utar ke giile daraḳhtoñ pe chhā ga.ī
kuchh shāḳheñ Tuut kar jo daraḳhtoñ se aa paḌīñ
ik saath fāḳhtā.eñ ka.ī chīḳh kar girīñ
kuchh ghoñsloñ ko tez havā.eñ nigal ga.iiñ
din-bhar nikal rahā hai magar ūñghtā huā
qātil siyah-ruḳhoñ kā lahū sūñghtā huā
suraj chhupa to raat ke par phailte gae
phir yun hua ki tez hawaon ke dosh se
aandhi utar ke gile daraKHton pe chha gai
kuchh shaKHen Tut kar jo daraKHton se aa paDin
ek sath faKHtaen kai chiKH kar girin
kuchh ghonslon ko tez hawaen nigal gain
din-bhar nikal raha hai magar unghta hua
qatil siyah-ruKHon ka lahu sunghta hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.