zalzala aaTh october 2005
us raushan sub.h ke dāman meñ
ik sūraj qahr kā chamkā thā
ik taarā jī kā naġhma thā
jo vaadī vaadī gūñjā thā
ik purvā.ī thī vahshat kī
ik fitrat kā naqqārā thā
nādīda thā vo dast-e-ajal
jo dasht-o-jabal larzātā thā
aur paañv tale se dhartī ko
be-vahm-o-gumāñ sarkātā thā
ik khel rahā kuchh lamhoñ kā
kuchh lamhe the jo aa.e ga.e
sab nauhe niist ke nauhe the
nābūd kī taal pe gaa.e ga.e
bastī aur bastī vaale sab
malbe ke tale dafnā.e ga.e
ab jhelne vaale jheleñge
jo dukh hai bichhaḌne vāloñ kā
ik aag firāq kī dahkī hai
ye rasta hai angāroñ kā
bas is par chalnā aur jalnā
maqdūr hai ġham ke māroñ kā
lekin ye rang badalte din
lekin ye bhed bharī duniyā
usī raakh se ḳhaak se ubhregī
koñpal ke samān harī duniyā
ye vaqt ajab madārī hai
sau khel tamāshe laatā hai
ik manzar hañsne vaalā hai
ik manzar ḳhuun rulātā hai
aur vo jo sab kā vaalī hai
har manzar dekhe jaatā hai
us raushan subh ke daman mein
ek suraj qahr ka chamka tha
ek tara ji ka naghma tha
jo wadi wadi gunja tha
ek purwai thi wahshat ki
ek fitrat ka naqqara tha
nadida tha wo dast-e-ajal
jo dasht-o-jabal larzata tha
aur panw tale se dharti ko
be-wahm-o-guman sarkata tha
ek khel raha kuchh lamhon ka
kuchh lamhe the jo aae gae
sab nauhe nist ke nauhe the
nabud ki tal pe gae gae
basti aur basti wale sab
malbe ke tale dafnae gae
ab jhelne wale jhelenge
jo dukh hai bichhaDne walon ka
ek aag firaq ki dahki hai
ye rasta hai angaron ka
bas is par chalna aur jalna
maqdur hai gham ke maron ka
lekin ye rang badalte din
lekin ye bhed bhari duniya
usi rakh se KHak se ubhregi
konpal ke saman hari duniya
ye waqt ajab madari hai
sau khel tamashe lata hai
ek manzar hansne wala hai
ek manzar KHun rulata hai
aur wo jo sab ka wali hai
har manzar dekhe jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.