zamana KHuda hai
''zamāna ḳhudā hai use tum burā mat kaho''
magar tum nahīñ dekhte zamāna faqat resmān-e-ḳhayāl
subuk-māyā, nāzuk, tavīl
judā.ī kī arzāñ sabīl!
vo sub.heñ jo lākhoñ baras pesh-tar thīñ,
vo shāmeñ jo lākhoñ baras ba.ad hoñgī,
unheñ tum nahīñ dekhte, dekh sakte nahīñ
ke maujūd haiñ ab bhii, maujūd haiñ vo kahīñ
magar ye nigāhoñ ke aage jo rassī tanī hai
use dekh sakte ho, aur dekhte ho
ke ye vo adam hai
jise hast hone meñ muddat lagegī
sitāroñ ke lamhe, sitāroñ ke saal!
mere sehan meñ ek kam-sin banafshe kā paudā hai
tayyāra koī kabhī us ke sar par se guzre
to vo muskurātā hai aur lahlahātā hai
goyā vo tayyāra, us kī mohabbat meñ
ahd-e-vafā ke kisī jabr-e-tāqat-rubā hī se guzrā!
vo ḳhush-emtimādī se kahtā hai
lo dekho, kaise isī ek rassī ke donoñ kināroñ
se ham tum bañdhe haiñ!
ye rassī na ho to kahāñ ham meñ tum meñ
ho paidā ye rāh-e-visāl?
magar hijr ke in vasīloñ ko vo dekh saktā nahīñ
jo sarāsar azal se abad tak tane haiñ!
jahāñ ye zamāna hanūz-e-zamāna
faqat ik girah hai!
zamana KHuda hai use tum bura mat kaho
magar tum nahin dekhte zamana faqat resman-e-KHayal
subuk-maya, nazuk, tawil
judai ki arzan sabil!
wo subhen jo lakhon baras pesh-tar thin,
wo shamen jo lakhon baras baad hongi,
unhen tum nahin dekhte, dekh sakte nahin
ke maujud hain ab bhi, maujud hain wo kahin
magar ye nigahon ke aage jo rassi tani hai
use dekh sakte ho, aur dekhte ho
ke ye wo adam hai
jise hast hone mein muddat lagegi
sitaron ke lamhe, sitaron ke sal!
mere sehan mein ek kam-sin banafshe ka pauda hai
tayyara koi kabhi us ke sar par se guzre
to wo muskuraata hai aur lahlahata hai
goya wo tayyara, us ki mohabbat mein
ahd-e-wafa ke kisi jabr-e-taqat-ruba hi se guzra!
wo KHush-emtimadi se kahta hai
lo dekho, kaise isi ek rassi ke donon kinaron
se hum tum bandhe hain!
ye rassi na ho to kahan hum mein tum mein
ho paida ye rah-e-visal?
magar hijr ke in wasilon ko wo dekh sakta nahin
jo sarasar azal se abad tak tane hain!
jahan ye zamana hanuz-e-zamana
faqat ek girah hai!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.