zamane
agar maazī kabhī thā
to shāyad mar chukā hai
aur us ke saath
zinda dafn
maiñ bhī ab tak ho chukī hoñgī
aur ik vo vaqt jo aayā nahīñ ab tak
vo mustaqbil hai shāyad
jahāñ paidā abhī honā hai mujh ko
agar paidā huī maiñ
faqat ek haal baaqī rah gayā hai
magar is meñ bhī maiñ zinda kahāñ huuñ
agar mazi kabhi tha
to shayad mar chuka hai
aur us ke sath
zinda dafn
main bhi ab tak ho chuki hongi
aur ek wo waqt jo aaya nahin ab tak
wo mustaqbil hai shayad
jahan paida abhi hona hai mujh ko
agar paida hui main
faqat ek haal baqi rah gaya hai
magar is mein bhi main zinda kahan hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.