zamin ke andhere
jism kī harārateñ
har ḳhaliye meñ tairtī huī
qatra qatra
zahr kī tarah bikhartī huī
yūñhī tumhārā ziyāñ kartī raheñgī
aur phir chaar kāñdhoñ par savār
tum zamīñ ke añdhere ġhāroñ meñ
qaid hoge
jahāñ farishtoñ ke aane tak
kīḌe-makoḌe kilkāriyāñ maar kar
tumhāre jism se lipaT jā.eñge
aur tum yūñhī muntazir rahoge
kisī duā ke
ūd-o-ambar kī fazā ke
jism ki hararaten
har KHaliye mein tairti hui
qatra qatra
zahr ki tarah bikharti hui
yunhi tumhaara ziyan karti rahengi
aur phir chaar kandhon par sawar
tum zamin ke andhere ghaaron mein
qaid hoge
jahan farishton ke aane tak
kiDe-makoDe kilkariyan mar kar
tumhaare jism se lipaT jaenge
aur tum yunhi muntazir rahoge
kisi dua ke
ud-o-ambar ki faza ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.