zamin nahin jaanti
maiñ ne
maut kā chehra hanūt kar ke
muskurāhaT ke tābūt meñ
band kar diyā
marg-farosh girhoñ kā shumār to sab ne kiyā
baaqī an-dekhī girheñ
bañdh ga.ī haiñ
merī saañs kī Dor ke saath
unheñ ginñe ke liye
siikh liyā maiñ ne rāj-hañs se giit
saat din meñ sabza-zār meñ Thahrūñgī
aur phir zamīn ke ār-pār
kiran kī sūrat
jazb ho jā.ūñgī
tumhārī raushnī meñ
main ne
maut ka chehra hanut kar ke
muskurahaT ke tabut mein
band kar diya
marg-farosh girhon ka shumar to sab ne kiya
baqi an-dekhi girhen
bandh gai hain
meri sans ki Dor ke sath
unhen ginne ke liye
sikh liya main ne raj-hans se git
sat din mein sabza-zar mein Thahrungi
aur phir zamin ke aar-par
kiran ki surat
jazb ho jaungi
tumhaari raushni mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.