zamin un ke liye phul khilati hai
jab aag jalī naaf ke nīche to zamīñ phail ga.ī
aag jalī aur badan phail ga.e
āñkhoñ kī āvārgī be-rañg huī
dhuup havā chāñdnī
sab bastiyoñ meñ ḳhaak uḌī
qāfile hī qāfile the
qāfile jo dard ke vatanoñ se chale
chalte ga.e ajnabī ḳhushbū kī taraf
us kī taraf jis ke liye saarī kitāboñ meñ likhā hai
vo kabhī haath nahīñ aatī kabūtaroñ se chaTātī hai
magar raat ke darvāze pe pahuñche to sitāre na mile
log abhī sub.h kī ummīd meñ shab kāTte haiñ
log dukhī log akele haiñ
unheñ rāsta do siine se chimTā lo
har ik rāste meñ jaltī huī aag bujhā do ki badan
phailte jaate haiñ zamīñ tañg huī jaatī hai
jo aag bujhāne ke liye aa.e the
sab ḳhaak hue lauT nahīñ paa.e
havā un ke liye dastakeñ detī hai
zamīñ un ke liye phuul khilātī hai
jab aag jali naf ke niche to zamin phail gai
aag jali aur badan phail gae
aankhon ki aawargi be-rang hui
dhup hawa chandni
sab bastiyon mein KHak uDi
qafile hi qafile the
qafile jo dard ke watanon se chale
chalte gae ajnabi KHushbu ki taraf
us ki taraf jis ke liye sari kitabon mein likha hai
wo kabhi hath nahin aati kabutaron se chaTati hai
magar raat ke darwaze pe pahunche to sitare na mile
log abhi subh ki ummid mein shab kaTte hain
log dukhi log akele hain
unhen rasta do sine se chimTa lo
har ek raste mein jalti hui aag bujha do ki badan
phailte jate hain zamin tang hui jati hai
jo aag bujhane ke liye aae the
sab KHak hue lauT nahin pae
hawa un ke liye dastaken deti hai
zamin un ke liye phul khilati hai
- Book : shab khuun (43) (rekhta website) (Pg. 8)
- Edition : 1969
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.