zamin
zamīñ hai to tāroñ kī ham se ye duurī hai
zamīñ hai to merī aur terī ye majbūrī hai
ye zamīñ hai to maiñ kuhniyoñ pe chaltā huuñ
zamīñ hai to tumheñ chhūne ko tarastā huuñ
ye zamīñ hai to hai ye āsmān uḌne ke liye
zamīñ hai to kuchh to hai tere girne ke liye
yahī soch ke ki tum barsoge kabhī ek din
binā chhat ke ek makān meñ
maiñ zamīñ pe rahtā huuñ
zamin hai to taron ki hum se ye duri hai
zamin hai to meri aur teri ye majburi hai
ye zamin hai to main kuhniyon pe chalta hun
zamin hai to tumhein chhune ko tarasta hun
ye zamin hai to hai ye aasman uDne ke liye
zamin hai to kuchh to hai tere girne ke liye
yahi soch ke ki tum barsoge kabhi ek din
bina chhat ke ek makan mein
main zamin pe rahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.