zamistan
saḳht saffāk
ḳhud meñ simaT kar chaTaḳhtī huī barf
aur munjamid jism-o-jāñ
raat
jazboñ kī qabroñ pe katbe ke mānind aTkī huī
haath khurche hue saañs ukhḌī huī
lafz
goyā samā.at ke parde se Takrā ke chipke hue
barf par
chār-o-nā-chār pairoñ kī jamtī huī uñgliyāñ
haDDiyoñ kī darāḌoñ meñ ghustī havā
ḳhuun tak raah paane kī koshish meñ
TuuTī fasīloñ pe yalġhār kartī huī
dil baqā ke liye ḳhud se laḌtā huā
ḳhuun piitā huā aur ugaltā huā
kaisā bohrān hai dam nikaltā nahīñ
sard mausam kisī taur Taltā nahīñ
jis qadar ho sake
girte peḌoñ kī shāḳheñ jalāte raho
aag bujhne na do
saKHt saffak
KHud mein simaT kar chaTaKHti hui barf
aur munjamid jism-o-jaan
raat
jazbon ki qabron pe katbe ke manind aTki hui
hath khurche hue sans ukhDi hui
lafz
goya samaat ke parde se Takra ke chipke hue
barf par
chaar-o-na-chaar pairon ki jamti hui ungliyan
haDDiyon ki daraDon mein ghusti hawa
KHun tak rah pane ki koshish mein
TuTi fasilon pe yalghaar karti hui
dil baqa ke liye KHud se laDta hua
KHun pita hua aur ugalta hua
kaisa bohran hai dam nikalta nahin
sard mausam kisi taur Talta nahin
jis qadar ho sake
girte peDon ki shaKHen jalate raho
aag bujhne na do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.