zanjir
gosha-e-zanjīr meñ
ik na.ī jumbish huvaidā ho chalī
sañg-e-ḳhārā hī sahī ḳhār-e-muġhīlāñ hī sahī
dushman-e-jāñ dushman-e-jāñ hī sahī
dost se dast-o-garebāñ hī sahī
ye bhī to shabnam nahīñ
ye bhī to maḳhmal nahīñ diibā nahīñ resham nahīñ
har jagah phir sīna-e-naḳhchīr meñ
ik nayā armāñ na.ī ummīd paidā ho chalī
hajla-e-sīmīñ se tū bhī pīla-e-resham nikal
vo hasīñ aur dūr-uftāda farañgī aurteñ
tū ne jin ke husn-e-roz-afzūñ kī zīnat ke liye
sālahā be-dast-o-pā ho kar bune haiñ tār-hā-e-sīm-o-zar
un ke mardoñ ke liye bhī aaj ik sañgīn jaal
ho sake to apne paikar se nikāl
shukr hai dumbāla-e-zanjīr meñ
ik na.ī jumbish na.ī larzish huvaidā ho chalī
kohsāroñ reg-zāroñ se sadā aane lagī
zulm-parvarda ġhulāmo bhaag jaao
parda-e-shab-gīr meñ apne salāsil toḌ kar
chār-sū chhā.e hue zulmāt ko ab chiir jaao
aur is hañgām-bād-āvar ko
hīla-e-shab-ḳhūñ banāo
gosha-e-zanjir mein
ek nai jumbish huwaida ho chali
sang-e-KHara hi sahi KHar-e-mughilan hi sahi
dushman-e-jaan dushman-e-jaan hi sahi
dost se dast-o-gareban hi sahi
ye bhi to shabnam nahin
ye bhi to maKHmal nahin diba nahin resham nahin
har jagah phir sina-e-naKHchir mein
ek naya arman nai ummid paida ho chali
hajla-e-simin se tu bhi pila-e-resham nikal
wo hasin aur dur-uftada farangi aurten
tu ne jin ke husn-e-roz-afzun ki zinat ke liye
salaha be-dast-o-pa ho kar bune hain tar-ha-e-sim-o-zar
un ke mardon ke liye bhi aaj ek sangin jal
ho sake to apne paikar se nikal
shukr hai dumbaala-e-zanjir mein
ek nai jumbish nai larzish huwaida ho chali
kohsaron reg-zaron se sada aane lagi
zulm-parwarda ghulamo bhag jao
parda-e-shab-gir mein apne salasil toD kar
chaar-su chhae hue zulmat ko ab chir jao
aur is hangam-baad-awar ko
hila-e-shab-KHun banao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.