zanjir
shahr kī shā.erī se
duur uftāda zamīnoñ tak
koī zanjīr-e-maqnātīs hai jo
dast-o-gardan meñ hamā.il hai
kabhī jismoñ kī āvāzoñ kī aur āñkhoñ kī qurbat
toḌtī hai is kī kaḌiyoñ ko
magar kab tak
ye phir ik saañp ke mānind
aa jaatī hai gardan tak
ye zanjīr-e-musalsal
dast-e-attār-o-jalāluddīn-rūmī māñgtī
is ko dekhūñ
TūTtā
kaTtā
bikhartā
shahr ki shaeri se
dur uftada zaminon tak
koi zanjir-e-maqnatis hai jo
dast-o-gardan mein hamail hai
kabhi jismon ki aawazon ki aur aankhon ki qurbat
toDti hai is ki kaDiyon ko
magar kab tak
ye phir ek sanp ke manind
aa jati hai gardan tak
ye zanjir-e-musalsal
dast-e-attar-o-jalaluddin-rumi mangti
is ko dekhun
TuTta
kaTta
bikharta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.