zar-e-nab
ik ḳhvāb ke fāsle pe lahū hai
kohsār ke surma.ī kināre
vaadī se shafaq uchhālte haiñ
jī meñ ye bharā huā sunahrā
bhītar meñ rukā huā dasahra
kāġhaz pe numū karegā kab tak
ai harf-e-sitāra-sāz ab to
uThtī hai qanāt raushnī kī
zulmat kā shi.ār hai ikahrā
ḳhufta hai jihat jihat ujālā
imkāñ hai basīt aur gahrā
ek KHwab ke fasle pe lahu hai
kohsar ke surmai kinare
wadi se shafaq uchhaalte hain
ji mein ye bhara hua sunahra
bhitar mein ruka hua dasahra
kaghaz pe numu karega kab tak
ai harf-e-sitara-saz ab to
uThti hai qanat raushni ki
zulmat ka shiar hai ikahra
KHufta hai jihat jihat ujala
imkan hai basit aur gahra
- Book : Sitarah Saaz (Pg. 35)
- Author : Akhtar Usman
- Publication : Ahbaab Publications (2013)
- Edition : 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.