zara si baat
zindagī ke maile meñ ḳhvāhishoñ ke rele meñ
tum se kyā kaheñ jānāñ is qadar jhamele meñ
vaqt kī ravānī hai baḳht kī girānī hai
saḳht be-zamīnī hai saḳht lā-makānī hai
hijr ke samundar meñ
taḳht aur taḳhte kī ek hī kahānī hai
tum ko jo sunānī hai
baat go zarā sī hai
baat umr-bhar kī hai
umr-bhar kī bāteñ kab do-ghaḌī meñ hotī haiñ
dard ke samundar meñ
an-ginat jazīre haiñ be-shumār motī haiñ
aañkh ke darīche meñ tum ne jo sajāyā thā
baat us diye kī hai
baat us gile kī hai
jo lahū kī ḳhalvat meñ chor ban ke aatā hai
lafz kī fasīloñ par TuuT TuuT jaatā hai
zindagī se lambī hai baat ratjage kī hai
rāste meñ kaise ho
baat taḳhliye kī hai
taḳhliye kī bātoñ meñ guftugū izāfī hai
pyaar karne vāloñ ko ik nigāh kaafī hai
ho sake to sun jaao ek roz akele meñ
tum se kyā kaheñ jānāñ is qadar jhamele haiñ
zindagi ke maile mein KHwahishon ke rele mein
tum se kya kahen jaanan is qadar jhamele mein
waqt ki rawani hai baKHt ki girani hai
saKHt be-zamini hai saKHt la-makani hai
hijr ke samundar mein
taKHt aur taKHte ki ek hi kahani hai
tum ko jo sunani hai
baat go zara si hai
baat umr-bhar ki hai
umr-bhar ki baaten kab do-ghaDi mein hoti hain
dard ke samundar mein
an-ginat jazire hain be-shumar moti hain
aankh ke dariche mein tum ne jo sajaya tha
baat us diye ki hai
baat us gile ki hai
jo lahu ki KHalwat mein chor ban ke aata hai
lafz ki fasilon par TuT TuT jata hai
zindagi se lambi hai baat ratjage ki hai
raste mein kaise ho
baat taKHliye ki hai
taKHliye ki baaton mein guftugu izafi hai
pyar karne walon ko ek nigah kafi hai
ho sake to sun jao ek roz akele mein
tum se kya kahen jaanan is qadar jhamele hain
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album (Pg. 435)
- Author : amjad islam amjad
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.