Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zara socho

Asna Badr

zara socho

Asna Badr

MORE BYAsna Badr

    mujhe ma.alūm hai jānāñ

    mire marne pe tum aañsū bahāoge

    mirī har baat tum ko yaad aa.egī

    ba-mushkil bhuul pāoge

    zarā socho

    ye narmī hamdamī meñ mujh ko mil jaa.e to achchhā ho

    mujhe ma.alūm hai

    merī ġhalatiyoñ ko sarāsar bhuul jāoge

    gile shikve kabhī muñh par na lāoge

    zarā socho

    tumhārī be-niyāzī

    gar merī maujūdgī meñ mujh ko mil jaa.e to achchhā ho

    mujhe ma.alūm hai ye bhī

    ki merī qabr par

    tum phuul rakkhoge mohabbat se

    mirī ḳhātir vahīñ kuchh der rah kar ġham bhulāoge

    zarā socho

    ye chāhat haath meñ mujh ko mil jaa.e to achchhā ho

    mujhe aisā bhī lagtā hai

    mirī āvāz ḳhāmoshī meñ sun kar chauñk jāoge

    mirī yādoñ ke añdhere meñ apnā dil jalāo.ge

    zarā socho

    yaqīñ is raushnī meñ mujh ko mil jaa.e to achchhā ho

    mujhe ehsās hotā hai

    ki merā rañj kuchh arsa tumheñ maġhmūm rakkhegā

    tumheñ zehnī sukūñ se der tak mahrūm rakkhegā

    magar jānāñ

    ye ġham āsūdgī meñ mujh ko mil jaa.e to achchhā ho

    jo mar kar tum se hāsil ho

    vo sab is zindagī meñ mujh ko mil jaa.e to

    achchhā ho

    zarā socho

    mujhe malum hai jaanan

    mere marne pe tum aansu bahaoge

    meri har baat tum ko yaad aaegi

    ba-mushkil bhul paoge

    zara socho

    ye narmi hamdami mein mujh ko mil jae to achchha ho

    mujhe malum hai

    meri ghalatiyon ko sarasar bhul jaoge

    gile shikwe kabhi munh par na laoge

    zara socho

    tumhaari be-niyazi

    gar meri maujudgi mein mujh ko mil jae to achchha ho

    mujhe malum hai ye bhi

    ki meri qabr par

    tum phul rakkhoge mohabbat se

    meri KHatir wahin kuchh der rah kar gham bhulaoge

    zara socho

    ye chahat hath hi mein mujh ko mil jae to achchha ho

    mujhe aisa bhi lagta hai

    meri aawaz KHamoshi mein sun kar chaunk jaoge

    meri yaadon ke andhere mein apna dil jalaoge

    zara socho

    yaqin is raushni mein mujh ko mil jae to achchha ho

    mujhe ehsas hota hai

    ki mera ranj kuchh arsa tumhein maghmum rakkhega

    tumhein zehni sukun se der tak mahrum rakkhega

    magar jaanan

    ye gham aasudgi mein mujh ko mil jae to achchha ho

    jo mar kar tum se hasil ho

    wo sab is zindagi mein mujh ko mil jae to

    achchha ho

    zara socho

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now