zarb-e-paiham
ye kyā zarb-e-paiham sī
har dam hai siine pe mere
kabhī zarb ulTī lagī yā
mirī pusht ḳhud zarb-e-paiham se ulTī
tū phir riiḌh kī haDDiyāñ merī chTḳhīñ
ki sarhad pe juuñ ek ma.asūm bachche kī haDDī
mujāhid ke būToñ kī zad meñ paḌī charmarātī rahī ho
to kyā zarb-e-paiham se pīchhā chhuḌānā bhī mumkin nahīñ hai?
nahīñ hai to kyā maiñ bhī sīkhūñ
vahī zarb-e-paiham kī saarī adā.eñ?
ki ye zarb-e-paiham muqābil kabhī zarb-e-paiham ke aa.e
ye mumkin hai ifhām-o-tafhīm kī koī sūrat bhī nikle
koī sur mohabbat kā phūTe, fazā gungunā.e
ye kya zarb-e-paiham si
har dam hai sine pe mere
kabhi zarb ulTi lagi ya
meri pusht KHud zarb-e-paiham se ulTi
tu phir riDh ki haDDiyan meri chTKHin
ki sarhad pe jun ek masum bachche ki haDDi
mujahid ke buTon ki zad mein paDi charmaraati rahi ho
to kya zarb-e-paiham se pichha chhuDana bhi mumkin nahin hai?
nahin hai to kya main bhi sikhun
wahi zarb-e-paiham ki sari adaen?
ki ye zarb-e-paiham muqabil kabhi zarb-e-paiham ke aae
ye mumkin hai ifham-o-tafhim ki koi surat bhi nikle
koi sur mohabbat ka phuTe, faza gungunae
- Book : maazii ka aainda
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.